Shayari
tumhaare sach ki hifaazat mein yuun huaa akasr
ki apne-aap ko jhuTaa banaa liyaa main ne
vo koi aam saa hi jumla thaa
tere munh se buraa lagaa mujh ko
وہ کوئی عام سا ہی جملہ تھا
تیرے منہ سے برا لگا مجھ کو
वो कोई आम सा ही जुमला था
तेरे मुँह से बुरा लगा मुझ को

tumhaare sach ki hifaazat mein yuun huaa akasr
ki apne-aap ko jhuTaa banaa liyaa main ne
ishq adab hai to apne aap aae
gar sabaq hai to phir paDhaa mujh ko
be-sadaa si kisi aavaaz ke pichhe pichhe
chalte chalte main bahut duur nikal jaataa huun
khudaa kare ki vahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juTaa rahaa huun main
safar kahaan se kahaan tak pahunch gayaa meraa
ruke jo paanv to kaandhon pe jaa rahaa huun main
mire baghair koi tum ko DhunDtaa kaise
tumhein pata hai tumhaaraa pata rahaa huun main