Shayari
mohabbat ko bahut hoti hai ghairat
khataa un ki hai main sharmaa rahaa huun
S
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwichaahe divaana kahein yaa log saudaai kahein
aa gae ham sar ko le kar pattharon ke shahr mein
چاہے دیوانہ کہیں یا لوگ سودائی کہیں
آ گئے ہم سر کو لے کر پتھروں کے شہر میں
चाहे दीवाना कहें या लोग सौदाई कहें
आ गए हम सर को ले कर पत्थरों के शहर में
mohabbat ko bahut hoti hai ghairat
khataa un ki hai main sharmaa rahaa huun
koi ham se khafaa saa lagtaa hai
varna dil kyuun bujhaa saa lagtaa hai
kahin aansuon se likhaa huaa kahin aansuon se miTaa huaa
lauh-e-dil pe jis ke nishaan hain vahi ek naam qubul hai
saath teraa rahaa nahin baaqi
varna duniyaa mein kyaa nahin baaqi
ik daaimi sukun ki tamannaa hai raat din
tang aa gae hain gardish-e-shaam-o-sahar se ham
vo nikle hain saraapaa ban-sanvar kar
qayaamat aaegi ye aaj tai hai