Shayari
chaahe divaana kahein yaa log saudaai kahein
aa gae ham sar ko le kar pattharon ke shahr mein
S
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwisaath teraa rahaa nahin baaqi
varna duniyaa mein kyaa nahin baaqi
ساتھ تیرا رہا نہیں باقی
ورنہ دنیا میں کیا نہیں باقی
साथ तेरा रहा नहीं बाक़ी
वर्ना दुनिया में क्या नहीं बाक़ी
chaahe divaana kahein yaa log saudaai kahein
aa gae ham sar ko le kar pattharon ke shahr mein
mohabbat ko bahut hoti hai ghairat
khataa un ki hai main sharmaa rahaa huun
koi ham se khafaa saa lagtaa hai
varna dil kyuun bujhaa saa lagtaa hai
kahin aansuon se likhaa huaa kahin aansuon se miTaa huaa
lauh-e-dil pe jis ke nishaan hain vahi ek naam qubul hai
ik daaimi sukun ki tamannaa hai raat din
tang aa gae hain gardish-e-shaam-o-sahar se ham
vo nikle hain saraapaa ban-sanvar kar
qayaamat aaegi ye aaj tai hai