Shayari
ye aakhir hai ye aakhir hai ye aakhir hai ye aakhir
us ke har ik zulm ko main ne aakhir samjhaa bhuul hui
mujhe nafrat thi jis kirdaar se ab tak kahaani mein
usi kirdaar ke marne pe ab rone lagaa huun main
مجھے نفرت تھی جس کردار سے اب تک کہانی میں
اسی کردار کے مرنے پہ اب رونے لگا ہوں میں
मुझे नफ़रत थी जिस किरदार से अब तक कहानी में
उसी किरदार के मरने पे अब रोने लगा हूँ मैं

ye aakhir hai ye aakhir hai ye aakhir hai ye aakhir
us ke har ik zulm ko main ne aakhir samjhaa bhuul hui
mohabbat ye nahin kahti ki us ko baandh kar rakh lein
kisi panchhi ko uDtaa dekh kar jalte nahin hain ham
nasha kar lein nashe kaaTein manaaein hijr yaadon kaa
hamein maan baap ne is vaaste thoDe hi paalaa thaa
maan khush hai ki aakhir bachche siikh gae hain khush rahnaa
bachche khush hain siikh gae hain dard chhupaanaa achchhe se
main vo to bhuul baiThaa huun jo mujh ko yaad rakhnaa thaa
magar jo bhuul jaanaa thaa mujhe vo yaad hai ab tak
hamaari naav ki qismat mein shaayad
kisi buDhe shajar ki bad-du'aa hai