Shayari
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
U
Urfi Aafaqichalaa thaa main to samundar ki tishnagi le kar
milaa ye kaisaa saraabon kaa silsila mujh ko
چلا تھا میں تو سمندر کی تشنگی لے کر
ملا یہ کیسا سرابوں کا سلسلہ مجھ کو
चला था मैं तो समुंदर की तिश्नगी ले कर
मिला ये कैसा सराबों का सिलसिला मुझ को
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
vo aae jaataa hai kab se par aa nahin jaataa
vahi sadaa-e-qadam kaa hai silsila ki jo thaa
maalum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamaari
sahraa hi koi girya-e-shabnam ko milegaa