Shayari
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
U
Urfi Aafaqimaalum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamaari
sahraa hi koi girya-e-shabnam ko milegaa
معلوم ہے عرفیؔ جو ہے قسمت میں ہماری
صحرا ہی کوئی گریۂ شبنم کو ملے گا
मालूम है 'उर्फ़ी' जो है क़िस्मत में हमारी
सहरा ही कोई गिर्या-ए-शबनम को मिलेगा
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
chalaa thaa main to samundar ki tishnagi le kar
milaa ye kaisaa saraabon kaa silsila mujh ko
vo aae jaataa hai kab se par aa nahin jaataa
vahi sadaa-e-qadam kaa hai silsila ki jo thaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
raat bhar koi suraj dahaktaa lage
meri aankhon ke ye nuur aansu ajab
tere viraan shab-o-roz bhi rangin honge
bas kisi tarah hasinon se shanaasaai kar