Shayari
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
U
Urfi Aafaqivo aae jaataa hai kab se par aa nahin jaataa
vahi sadaa-e-qadam kaa hai silsila ki jo thaa
وہ آئے جاتا ہے کب سے پر آ نہیں جاتا
وہی صدائے قدم کا ہے سلسلہ کہ جو تھا
वो आए जाता है कब से पर आ नहीं जाता
वही सदा-ए-क़दम का है सिलसिला कि जो था
divaana-vaar naachiye hansiye gulon ke saath
kaanTe agar milein to jigar mein chubhoiye
chalaa thaa main to samundar ki tishnagi le kar
milaa ye kaisaa saraabon kaa silsila mujh ko
maalum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamaari
sahraa hi koi girya-e-shabnam ko milegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kal laD gayaa ki aur pe aashiq hai tu 'asad'
aayaa hai jab vo yaan to ik ilzaam de gayaa
khushi daaman-kashaan hai dil asir-e-gham hai barson se
hamaari zindagi kaa ek hi aalam hai barson se
khayaal-e-vaada tiraa bas-ki shab nazar mein rahaa
tamaam raat miraa ji sadaa-e-dar mein rahaa