Sher
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
A
Abdul Hai Aarfi"zara ai josh-e-gham rahne de qaabu men zaban meri vo sunna chahte hain khud mujhi se dastan meri"
ذرا اے جوش غم رہنے دے قابو میں زباں میری وہ سننا چاہتے ہیں خود مجھی سے داستاں میری
ज़रा ऐ जोश-ए-ग़म रहने दे क़ाबू में ज़बाँ मेरी वो सुनना चाहते हैं ख़ुद मुझी से दास्ताँ मेरी
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
"jitni tavaqquat thiin sab khatm ho chukin main 'arfi' kisi se bhi ab sargiran nahin"
"toDna tauba ka sau baar bhi asan tha magar jam-e-mai mujh se to ik baar bhi toDa na gaya"
"sukun-e-iztirab-e-gham pe chara-saz to khush hain dil-e-betab ki lekin qaza ma.alum hoti hai"
"ab mire vaste har mauj hai aghosh-e-sukun bahr-e-gham men jo nahin hai koi sahil na sahi"
"miri har aah ah-e-be-asar hai vafur-e-yas teri bad-gumani"