Sher
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
A
Abdul Hai Aarfi"ab mire vaste har mauj hai aghosh-e-sukun bahr-e-gham men jo nahin hai koi sahil na sahi"
اب مرے واسطے ہر موج ہے آغوش سکوں بحر غم میں جو نہیں ہے کوئی ساحل نہ سہی
अब मिरे वास्ते हर मौज है आग़ोश-ए-सुकूँ बहर-ए-ग़म में जो नहीं है कोई साहिल न सही
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"
"zara ai josh-e-gham rahne de qaabu men zaban meri vo sunna chahte hain khud mujhi se dastan meri"
"jitni tavaqquat thiin sab khatm ho chukin main 'arfi' kisi se bhi ab sargiran nahin"
"toDna tauba ka sau baar bhi asan tha magar jam-e-mai mujh se to ik baar bhi toDa na gaya"
"sukun-e-iztirab-e-gham pe chara-saz to khush hain dil-e-betab ki lekin qaza ma.alum hoti hai"
"miri har aah ah-e-be-asar hai vafur-e-yas teri bad-gumani"