Sher
"hamare aib men jis se madad mile ham ko hamen hai aaj kal aise kisi hunar ki talash"
N
Natiq Gulavthi"kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna vaqt ki ye baten hain vaqt ab kahan apna"
کس کو مہرباں کہئے کون مہرباں اپنا وقت کی یہ باتیں ہیں وقت اب کہاں اپنا
किस को मेहरबाँ कहिए कौन मेहरबाँ अपना वक़्त की ये बातें हैं वक़्त अब कहाँ अपना
"hamare aib men jis se madad mile ham ko hamen hai aaj kal aise kisi hunar ki talash"
"ham to masjid se bhi mayus hi aa.e 'natiq' koi allah ka banda to musalman hota"
"hamen jo yaad hai ham to usi se kaam lete hain kisi ka naam lena ho usi ka naam lete hain"
"be-khud-e-shauq huun aata hai khuda yaad mujhe rasta bhuul ke baiTha huun sanam-khane ka"
"ab main kya tum se apna haal kahun ba-khuda yaad bhi nahin mujh ko"
"tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke saath main vo bura ki kisi ka bura nahin karta"