Sher
kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naaz rahta tha
javani par na tum 'masrur' itrate to achchha tha

Masroor Shahjahanpuri
kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naaz rahta tha
कहाँ है ताब-ओ-ताक़त जिस पे तुम को नाज़ रहता था
marhum sha'iron ka jo mil jaa.e kuchh kalam
मरहूम शा'इरों का जो मिल जाए कुछ कलाम
miyan 'masrur' rahiyega sanbhal kar
मियाँ 'मसरूर' रहिएगा सँभल कर
un ki ammi ho chalin thiin rafta rafta ham-khayal
उन की अम्मी हो चलीं थीं रफ़्ता रफ़्ता हम-ख़याल
ga.e the balTi bharne pe un se ishq kar baiThe
गए थे बाल्टी भरने पे उन से इश्क़ कर बैठे
khvab jab se ik hasina ke nazar aane lage
ख़्वाब जब से इक हसीना के नज़र आने लगे
kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naaz rahta tha
javani par na tum 'masrur' itrate to achchha tha
marhum sha'iron ka jo mil jaa.e kuchh kalam
sarqe ka le ke jaam chalo sha'iri karen
miyan 'masrur' rahiyega sanbhal kar
raqibon ki zamanat ho ga.i hai
un ki ammi ho chalin thiin rafta rafta ham-khayal
haan magar abba ka un ke varghalana yaad hai
ga.e the balTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar laate to achchha tha
khvab jab se ik hasina ke nazar aane lage
maulvi sahab bhi beauty parlour jaane lage
ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
phir se vo yogaa ki varzish kar rahe hain baam par
phir se laTh apne mohalle mein vo chalvaaeinge kyaa
bahaane-baaz hain makkaar hain jhuTe hain shaatir hain
mile hain ab kahin jaa kar unhein ushshaaq Takkar ke
tiin din tak khauf ke maare chhupe the jis jagah
us jagah banne ko thaa ik ghusl-khaana yaad hai
hamaare shaikh ji phir se shifaa-khaane mein daakhil hain
bahut akhlaaq ke qaail hue hain ek sister ke
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar laate to achchhaa thaa