jo ashk surkh hai nama-nigar hai dil ka
sukut-e-shab men likhe ja rahe hain afsane

Siraj Lakhnavi
Siraj Lakhnavi
Sherशेर
See all 55 →jo ashk surkh hai nama-nigar hai dil ka
जो अश्क सुर्ख़ है नामा-निगार है दिल का
abhi rakkha rahne do taaq par yunhi aftab ka aa.ina
अभी रक्खा रहने दो ताक़ पर यूँही आफ़्ताब का आइना
jaan si shai ki mujhe ishq men kuchh qadr nahin
जान सी शय की मुझे इश्क़ में कुछ क़द्र नहीं
chand tinkon ki saliqe se agar tartib ho
चंद तिनकों की सलीक़े से अगर तरतीब हो
ye zamin khud ho jannaton ka suhag
ये ज़मीं ख़ुद हो जन्नतों का सुहाग
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaa.iz
सज्दा-ए-इश्क़ पे तन्क़ीद न कर ऐ वाइ'ज़
Popular Sher & Shayari
110 totalabhi rakkha rahne do taaq par yunhi aftab ka aa.ina
ki abhi to meri nigah men vahi mera mah-e-tamam hai
jaan si shai ki mujhe ishq men kuchh qadr nahin
zindagi jaise kahin main ne paDi paa.i hai
chand tinkon ki saliqe se agar tartib ho
bijliyon ko bhi tavaf-e-ashiyan karna paDe
ye zamin khud ho jannaton ka suhag
yuun huun abad saare virane
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaa.iz
dekh mathe pe abhi chand numayan hoga
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaaiz
dekh maathe pe abhi chaand numaayaan hogaa
na mohtasib ki khushaamad na mai-kade kaa tavaaf
khudi mein mast huun apni bahaar mein gum huun
qafas bhi bigDi hui shakl hai nasheman ki
ye ghar jo phir se sanvar jaae aashiyaan ho jaae
har ashk-e-surkh hai daamaan-e-shab mein aag kaa phuul
baghair shama ke bhi jal rahe hain parvaane
abhi rakkhaa rahne do taaq par yunhi aaftaab kaa aaina
ki abhi to meri nigaah mein vahi meraa maah-e-tamaam hai
Takraaun kyuun zamaane se kyaa faaeda 'siraaj'
khud apne raaste se haTaa jaa rahaa huun main
Ghazalग़ज़ल
ye vo aazmaaish-e-sakht hai ki baDe baDe bhi nikal gae
ये वो आज़माइश-ए-सख़्त है कि बड़े बड़े भी निकल गए
khayaal-e-dost na main yaad-e-yaar mein gum huun
ख़याल-ए-दोस्त न मैं याद-ए-यार में गुम हूँ
'ajab surat se dil ghabraa rahaa hai
'अजब सूरत से दिल घबरा रहा है
aankhon mein aaj aansu phir DabDabaa rahe hain
आँखों में आज आँसू फिर डबडबा रहे हैं





