Sher
khol dete hain palaT aane pe darvaza-e-dil
aane vaale ka irada nahin dekha jaata

Tariq Naeem
khol dete hain palaT aane pe darvaza-e-dil
खोल देते हैं पलट आने पे दरवाज़ा-ए-दिल
raat ro ro ke guzari hai charaghon ki tarah
रात रो रो के गुज़ारी है चराग़ों की तरह
uTha uTha ke tire naaz ai gham-e-duniya
उठा उठा के तिरे नाज़ ऐ ग़म-ए-दुनिया
ye virani si yunhi to nahin rahti hai ankhon men
ये वीरानी सी यूँही तो नहीं रहती है आँखों में
zamin itni nahin hai ki paanv rakh paa.en
ज़मीन इतनी नहीं है कि पाँव रख पाएँ
ye khayal tha kabhi khvab men tujhe dekhte
ये ख़याल था कभी ख़्वाब में तुझे देखते
khol dete hain palaT aane pe darvaza-e-dil
aane vaale ka irada nahin dekha jaata
raat ro ro ke guzari hai charaghon ki tarah
tab kahin harf men tasir nazar aa.i hai
uTha uTha ke tire naaz ai gham-e-duniya
khud aap hi tiri aadat kharab ki ham ne
ye virani si yunhi to nahin rahti hai ankhon men
mire dil hi se koi jada-e-vahshat nikalta hai
zamin itni nahin hai ki paanv rakh paa.en
dil-e-kharab ki zid hai ki ghar banaya jaa.e
ye khayal tha kabhi khvab men tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab men tujhe dekhte
vo aaina hai to hairat kisi jamaal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkhaa jaae
ye viraani si yunhi to nahin rahti hai aankhon mein
mire dil hi se koi jaada-e-vahshat nikaltaa hai
tire khayaal ki lau hi safar mein kaam aai
mire charaag to lagtaa thaa roe ab roe
raat ro ro ke guzaari hai charaaghon ki tarah
tab kahin harf mein taasir nazar aai hai
khush-arzaani hui hai is qadar baazaar-e-hasti mein
giraan jis ko samajhtaa huun vo kam-qimat nikaltaa hai
abhi to mansab-e-hasti se main haTaa hi nahin
badal gae hain mire doston ke lahje bhi