SHAWORDS

aaina ban ke apnaa tamaashaa dikhaaein ham — Ahmad Shahryar

HomeAhmad ShahryarGhazal
"aaina ban ke apnaa tamaashaa dikhaaein ham yuun saamne rahein ki nazar bhi na aaein ham mumkin hai daur-e-jashn-e-charaaghaan ho jab yahaan vo tirgi baDhe ki sahife jalaaein ham darpesh hai guzishta ruton kaa safar hamein hairat na kar ki lauT ke vaapas na aaein ham taufiq-e-sair-e-baagh agar ho to ab ki shaam dil ki jagah shajar pe parinde banaaein ham khaamosh ho raho ki sar-e-shahr-e-aarzu uftaad vo paDi hai ki ab kyaa bataaein ham"
Urdu

آئینہ بن کے اپنا تماشا دکھائیں ہم یوں سامنے رہیں کہ نظر بھی نہ آئیں ہم ممکن ہے دور جشن چراغاں ہو جب یہاں وہ تیرگی بڑھے کہ صحیفے جلائیں ہم درپیش ہے گزشتہ رتوں کا سفر ہمیں حیرت نہ کر کہ لوٹ کے واپس نہ آئیں ہم توفیق سیر باغ اگر ہو تو اب کی شام دل کی جگہ شجر پہ پرندے بنائیں ہم خاموش ہو رہو کہ سر شہر آرزو افتاد وہ پڑی ہے کہ اب کیا بتائیں ہم

Hindi

आईना बन के अपना तमाशा दिखाएँ हम यूँ सामने रहें कि नज़र भी न आएँ हम मुमकिन है दौर-ए-जश्न-ए-चराग़ाँ हो जब यहाँ वो तीरगी बढ़े कि सहीफ़े जलाएँ हम दरपेश है गुज़िश्ता रुतों का सफ़र हमें हैरत न कर कि लौट के वापस न आएँ हम तौफ़ीक़-ए-सैर-ए-बाग़ अगर हो तो अब की शाम दिल की जगह शजर पे परिंदे बनाएँ हम ख़ामोश हो रहो कि सर-ए-शहर-ए-आरज़ू उफ़्ताद वो पड़ी है कि अब क्या बताएँ हम

ā.īna ban ke apnā tamāshā dikhā.eñ ham
Ahmad Shahryar
Ahmad Shahryar
Ahmad Shahryar
poet29 quotes

More by Ahmad Shahryar

View all →
Quote
"duniyaa se har rishta toDaa khud se ru-gardaani ki sirf tumhaaraa dhyaan rakhaa aur jiine mein aasaani ki majnun aur farhaad hue jab ishq mein sab barbaad hue tab jangal ne kuuch kiyaa sahraa ne naql-e-makaani ki us ki mohni surat jaise phulon kaa aameza hai aur us ki aavaaz hai goyaa re-gaa-maa-paa-dhaani ki bhuli-bisri yaad ne jab daryaaft kiyaa ahvaal miraa dil ne zakhm kalaam kiyaa aankhon ne ashk-bayaani ki ilm kaa dam bharnaa chhoDo bhi aur amal ko bhuul bhi jaao aaina-khaane mein ho saahib fikr karo hairaani ki"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"ashk bhejein mauj ubhaarein abr jaari kijiye mehrbaan sail-e-balaa ki aabyaari kijiye ai charaagh-e-taaq-e-jaanaan ai havaa-e-ku-e-dost apni kaifiyyat zaraa ham par bhi taari kijiye shaam-e-hijraan mein sitaaron ko na Thahraaein sharik aaina-khaane mein aa kar khud-shumaari kijiye ashk-baari sina-chaaki dil-kharaashi ho chuki liije saahib ishq kaa farmaan jaari kijiye honT kahte hain bahaa diije lahu ashaar mein zulf kahti hai miyaan tarkib bhaari kijiye dekhiye maah o sitaara ghumiye arz o samaa chaliye baahar baad-e-khud-sar ki savaari kijiye ishq kaa aglaa paDaav main huun main duniyaa-parast al-madad ai qais ai farhaad yaari kijiye yuun to malne se rahi ye saltanat so shahryaar paanv paD kar roiye minnat-gizaari kijiye"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"nae zamaanon ki chaap to sar pe aa khaDi thi miri samaa'at guzishta advaar mein paDi thi udhar diye kaa badan havaa se thaa paara paara idhar andhere ki aankh mein ik kiran gaDi thi falak pe thaa aatishin darakhton kaa ek jangal aur un darakhton ke biich taarik jhonpaDi thi samaai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein vo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi jise piroyaa thaa apne haathon se tere gham ne sadaa-e-girya mein hichkiyon ki ajab laDi thi hamaari palkon pe raqs karte hue sharaare aur aasmaan mein kahin sitaaron ki phuljaDi thi tulua subh-e-hazaar khurshid ki du'aa par bujhe charaaghon ki raakh daaman pe aa paDi thi sabhi ghamin the mire piyaale mein zahr paa kar main mutmain thaa ki meri takmil ki ghaDi thi savaal-e-rukh gulsitaan mein aayaa to phuul Thahraa labon ki hasrat sukhan mein pahunchi to pankhuDi thi ye log to un dinon bhi naa-kHush the 'shahryaaraa' ki jin dinon mere paas jaadu ki ik chhaDi thi"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai bekaari bharpur mashaqqat hoti hai aisaa khaali aur itnaa gunjaan aabaad aaine ko dekh ke hairat hoti hai divaaron kaa apnaa sahraa hotaa hai aur kamron ki apni vahshat hoti hai us ko yaad karo shiddat se yaad karo is se tanhaai mein barkat hoti hai bachpan jauban aur buDhaapaa aur phir maut sab chalte rahne ki aadat hoti hai jiinaa to bas lafz hai ik be-maani lafz maut se pahle maut ki fursat hoti hai aisi aazaadi ab aur kahaan hogi ishq mein sab karne ki ijaazat hoti hai aansu moti jugnu taara suraj chaand har qatre ki apni qismat hoti hai"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"vo mar gayaa sadaa-e-nauha-gar mein kitni der hai ki saaneha to ho chukaa khabar mein kitni der hai hamaare shahr ki rivaayaton mein ek ye bhi thaa duaa se qabl puchhnaa asar mein kitni der hai muqaabla hai raqs kaa bagulaa kab kaa aa chukaa magar pataa nahin abhi bhanvar mein kitni der hai khudaa-e-mahr aasmaan ujaal de ki yuun na ho diye ko puchhnaa paDe sahar mein kitni der hai hazaar kuufa o halab guzar rahe hain roz o shab main jis taraf chalaa huun us nagar mein kitni der hai khirad ki tez dhuup mein junun kaa saaebaan khilaa main biij bo chukaa so ab shajar mein kitni der hai abhi hamein guzaarni hai ek umr-e-mukhtasar magar hamaari umr-e-mukhtasar mein kitni der hai"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"raaz-e-darun-e-aastin kashmakash-e-bayaan mein thaa aag abhi nafas mein thi shoala abhi zabaan mein thaa vo jo kahin thaa vo bhi main aur jo nahin thaa vo bhi main aap hi thaa zamin par aap hi aasmaan mein thaa lams-e-sadaa-e-saaz ne zakhm nihaal kar diye ye to vahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein thaa khvaab-e-ziyaan hain umr kaa khvaab hain haasil-e-hayaat is kaa bhi thaa yaqin mujhe vo bhi mire gumaan mein thaa khanjar o dashna o sinaan ye to bahaane hain miyaan aap na sharmsaar hon zakhm sirisht-e-jaan mein thaa hadd-e-gumaan se ek shakhs duur kahin chalaa gayaa main bhi vahin chalaa gayaa main bhi guzishtagaan mein thaa"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil