"ilaahi aa na paDe phir koi gham-e-taaza uDaa uDaa saa hai ru-e-nigaar kaa ghaaza abhi to kitne hain jin par haraam hai saaqi kahin ye toD na dein mai-kade kaa darvaaza ab inqilaab ki zad mein hai teri duniyaa bhi bahut bachaa ke tu daaman chali thi tannaaza ye ek qatra-e-khun markaz-e-do-aalam hai tumhein nahin hai dil-e-naa-tavaan kaa andaaza bhari bahaar mein ye meri chaak-daamaani na jaane kab kaa uThaanaa paDaa hai khamyaaza"
apni basti chhoD kar pardes mein jaaeinge kyaa — Khalilur Rahman Azmi
"apni basti chhoD kar pardes mein jaaeinge kyaa yaan to hai naan-e-javin bhi vaan magar khaaeinge kyaa har taraf ik sang-baari ghar se niklein kis tarah sar salaamat hi na ho to sar ko sahlaaeinge kyaa apni apni fikr sab ko apne apne sab ko gham koi mil jaae bhi to ab dil ko bahlaaeinge kyaa kaise pichhli raat guzri kaise niind aai tumhein subh kaa suraj jo puchhegaa to batlaaeinge kyaa ham bhi the ‘aali-dimaagh aur ham bhi the ‘aali-nasab gar kahein apni zabaan se log farmaaeinge kyaa"
اپنی بستی چھوڑ کر پردیس میں جائیں گے کیا یاں تو ہے نان جویں بھی واں مگر کھائیں گے کیا ہر طرف اک سنگ باری گھر سے نکلیں کس طرح سر سلامت ہی نہ ہو تو سر کو سہلائیں گے کیا اپنی اپنی فکر سب کو اپنے اپنے سب کو غم کوئی مل جائے بھی تو اب دل کو بہلائیں گے کیا کیسے پچھلی رات گزری کیسے نیند آئی تمہیں صبح کا سورج جو پوچھے گا تو بتلائیں گے کیا ہم بھی تھے عالی دماغ اور ہم بھی تھے عالی نسب گر کہیں اپنی زباں سے لوگ فرمائیں گے کیا
अपनी बस्ती छोड़ कर परदेस में जाएँगे क्या याँ तो है नान-ए-जवीं भी वाँ मगर खाएँगे क्या हर तरफ़ इक संग-बारी घर से निकलें किस तरह सर सलामत ही न हो तो सर को सहलाएँगे क्या अपनी अपनी फ़िक्र सब को अपने अपने सब को ग़म कोई मिल जाए भी तो अब दिल को बहलाएँगे क्या कैसे पिछली रात गुज़री कैसे नींद आई तुम्हें सुब्ह का सूरज जो पूछेगा तो बतलाएँगे क्या हम भी थे ‘आली-दिमाग़ और हम भी थे ‘आली-नसब गर कहें अपनी ज़बाँ से लोग फ़रमाएँगे क्या

More by Khalilur Rahman Azmi
View all →"tumhaare paas ik vahshi ne ye paighaam bhejaa hai ki ab hijraan-nashibon ko bhulaa denaa hi achchhaa hai junun mein yuun to kuchh apni khabar milti nahin ham ko ki aisaa naam hai jis par abhi tak dil dhaDaktaa hai ye maanaa sakht hai ye vaadi-e-ghurbat ki tanhaai mujhe rahne de ai hamdam yahin ab ji bahaltaa hai dil-e-naadaan ko raas aai tumhaari kaj-adaai bhi tumhaari bevafaai mein bhi ik aalam nikaltaa hai yaqin aa kar dilaate hain mujhe ye qaafile vaale zaraa kuchh aur aage kucha-e-jaanaan kaa rastaa hai"
"jaltaa nahin aur jal rahaa huun kis aag mein main pighal rahaa huun mafluj hain haath paanv mere phir zehn mein kyuun ye chal rahaa huun ik buund nahin lahu ki baaqi kis baat pe main machal rahaa huun tum jhuuT ye kah rahe ho mujh se main bhi kabhi be-badal rahaa huun kyuun mujh se hue gunaah sarzad kahne ko to be-'amal rahaa huun raai kaa banaa ke ek parbat ab us pe yunhi phisal rahaa huun kis haath se haath main milaaun ab apne hi haath mal rahaa huun kyuun aaina baar baar dekhun main aaj nahin jo kal rahaa huun ab kaun saa dar rahaa hai baaqi is dar se main kyuun nikal rahaa huun qadmon ke tale to kuchh nahin hai kis chiiz ko main kuchal rahaa huun ab koi nahin rahaa sahaaraa main aaj phir se sanbhal rahaa huun main kyuun karun aasmaan ki khvaahish ab tak to zamin pe chal rahaa huun ye barf haTaao mere sar se main aaj kuchh aur jal rahaa huun mujh ko na pilaao koi paani pyaason ke main saath chal rahaa huun khaane ki nahin rahi talab kuchh ab bhuuk ke bal pe pal rahaa huun"
"soi hai kali dil ki us ko bhi jagaa jaanaa is raah se bhi ho kar ai baad-e-sabaa jaanaa ham bhulte jaate hain us chehra-e-zebaa ko ai khvaab zaraa us ki surat to dikhaa jaanaa jab mausam-e-gul aae ai nikhat-e-aavaara aa kar dar-e-zindaan ki zanjir hilaa jaanaa phir haath chhuDaati hai mujh se miri tanhaai phir dil ke sanbhalne ke andaaz bataa jaanaa kis naaz se paalaa hai ham ne gham-e-hijraan ko us gham ko zaraa aa kar siine se lagaa jaanaa auron ke liye yuun to ik sang-e-garaan ham hain haan tum jo kabhi chaaho miTTi mein milaa jaanaa aankhon se bhi ab dil ki rudaad nahin kahte ab ham se koi sikhe har bhed chhupaa jaanaa apne hi kharaabe mein ham 'umr guzaareinge jab tum ko mile fursat ye ghar bhi basaa jaanaa"
"jab kabhi aayaa to zikr-e-mai-e-gulfaam aayaa kufr aayaa tire rindon ko na islaam aayaa phir kahaan bhaag ke jaaeinge ye tere vahshi gar tiri zulf ke saae mein na aaraam aayaa ham to barbaad the barbaad hi honaa thaa hamein kyon tiri chashm-e-'inaayat pe ye ilzaam aayaa si liye honTh ki andesha-e-rusvaai thaa phir bhi har saans mein chhup-chhup ke tiraa naam aayaa baat to jab hai bane aaj koi meraa harif 'ishq mein jaan ganvaa dene kaa hangaam aayaa mai-kade se jo chale daar-o-rasan tak pahunche aaj ye pi ke bahaknaa bhi bahut kaam aayaa"
"ye alag baat ki har samt se patthar aayaa sar-bulandi kaa bhi ilzaam mire sar aayaa zindagi chhoD ne aai mujhe darvaaze tak raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aayaa bas duaa hai ki ilaahi ye koi khvaab na ho koi saaya mire saae ke baraabar aayaa baarhaa sochaa ki ai kaash na aankhein hotin baarhaa saamne aankhon ke vo manzar aayaa kyaa kahein ab to ye aadat nahin jaati ham se jhuuT bhi bole to sach ban ke zabaan par aayaa main nahin haq mein zamaane ko buraa kahne ke ab ke main khaa ke zamaane ki jo Thokar aayaa surkhi-e-mai bhi Thaharti nahin har chehre par bul-havas bhi usi mai-khaane se ho kar aayaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"