SHAWORDS

asar kar ke aah-e-rasaa phir gai — Muneer Shikohabadi

"asar kar ke aah-e-rasaa phir gai huaa saaf matla havaa phir gai savaari tiri aa ke kyaa phir gai idhar ko udhar ki havaa phir gai mire sar se tegh-e-jafaa phir gai kai baar aai qazaa phir gai gayaa dev-e-gham jalva-e-yaar se pari-zaad aayaa balaa phir gai ye jaan-bakhsh us jaan-sataan ki hai chaal vo aayaa jo phir kar qazaa phir gai ghaDi do ghaDi kaa hai teraa mariz tabib uTh gae har davaa phir gai tu aataa nahin is gali mein 'munir' tabiat tiri ham se kyaa phir gai"
Urdu

اثر کر کے آہ رسا پھر گئی ہوا صاف مطلع ہوا پھر گئی سواری تری آ کے کیا پھر گئی ادھر کو ادھر کی ہوا پھر گئی مرے سر سے تیغ جفا پھر گئی کئی بار آئی قضا پھر گئی گیا دیو غم جلوۂ یار سے پری زاد آیا بلا پھر گئی یہ جاں بخش اس جانستاں کی ہے چال وہ آیا جو پھر کر قضا پھر گئی گھڑی دو گھڑی کا ہے تیرا مریض طبیب اٹھ گئے ہر دوا پھر گئی تو آتا نہیں اس گلی میں منیرؔ طبیعت تری ہم سے کیا پھر گئی

Hindi

असर कर के आह-ए-रसा फिर गई हुआ साफ़ मतला हवा फिर गई सवारी तिरी आ के क्या फिर गई इधर को उधर की हवा फिर गई मिरे सर से तेग़-ए-जफ़ा फिर गई कई बार आई क़ज़ा फिर गई गया देव-ए-ग़म जल्वा-ए-यार से परी-ज़ाद आया बला फिर गई ये जाँ-बख़्श उस जाँ-सताँ की है चाल वो आया जो फिर कर क़ज़ा फिर गई घड़ी दो घड़ी का है तेरा मरीज़ तबीब उठ गए हर दवा फिर गई तू आता नहीं इस गली में 'मुनीर' तबीअत तिरी हम से क्या फिर गई

asar kar ke āh-e-rasā phir ga.ī
Muneer Shikohabadi
Muneer Shikohabadi
Muneer Shikohabadi
poet172 quotes

More by Muneer Shikohabadi

View all →
Quote
"jab ham-baghal vo sarv qabaa posh ho gayaa qumri kaa tauq halqa-e-aaghosh ho gayaa ashaar mere sun ke vo khaamosh ho gayaa ghuncha ba-rang-e-gul hama-tan-gosh ho gayaa pi ghair ne sharaab mujhe be-khudi hui nashsha chaDhaa kisi ko main behosh ho gayaa is darja be-khudi ne dikhaain taalliyaan gardun ghubaar-e-qaafila-e-hosh ho gayaa tegh-e-ajal ki kaaT se Dartaa nahin huun main zakhmon se jism-e-zaar zira-posh ho gayaa ai but khayaal-e-vasf-e-dahan mein na paai raah bhaTkaa phiraa sukhan jo main khaamosh ho gayaa khun-khvaaron ke huzur na aayaa hamaari tarah aaina jauharon se zira-posh ho gayaa taalea jagaae aap ne arbaab-e-ishq ke yusuf kaa husn khvaab-e-faraamosh ho gayaa pinhaan hai zer-e-sabza-e-khat aatish-e-ezaar shoala fusun-e-husn se khas-posh ho gayaa hurein gale lipaTti hain aa aa ke raat din jannat ki raah kucha-e-aaghosh ho gayaa us mast-e-husn ki nigah-e-garm ke huzur aaina-e-jaam baada-e-sar-josh ho gayaa be-lutfiyon se tum jo mile main ne jaan di phaansi gale mein halqa-e-aaghosh ho gayaa abr-e-siyah ke saaye ne surma khilaa diyaa sabza tamaam tuti-e-khaamosh ho gayaa kaandhon se mere kaatib-e-aamaal gir paDe taDpaa main is qadar ki subuk-dosh ho gayaa kaanon kaa husn jalva-e-aariz se paD gayaa rukh aaftaab-e-subh bunaa-gosh ho gayaa uDtaa huun ishq mein lab laalin ke ai 'munir' goyaa sharaar aatish-e-khaamosh ho gayaa"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi
Quote
"pahunchaa hai us ke paas ye aaina TuuT ke kis se milaa hai shisha-e-dil ham se phuuT ke husn-e-malih kaa na kiyaa zakhmiyon ne shukr ai kirdgaar nikle namak phuuT phuuT ke sar phoD kar mue jo tire sang-e-dar se ham rah rah gae hasin bhi maathon ko kuuT ke be-nur hone par bhi vahi josh-e-girya hai aankhein hamaari aur bahin phuuT phuuT ke ai rashk-e-maah raat ko muTThi na kholnaa mehndi kaa chor haath se jaae na chhuT ke tadbir zahr dene ki hai paaemaalon ko hiire lagaae jaate hain pannon mein boot ke dil le ke palkein phir gaiin zulfon ki aaD mein ulTi phiri ye fauj sar-e-shaam luuT ke mauzun kareinge vasf dikhaao phaketiyaan jaane na paaein haath se mazmun chhuT ke dete hain mere saamne ghairon ko kharpuze baagh-e-jahaan mein aap hain mushtaaq phuuT ke kanghi se zulf uljhi to dil TukDe ho gayaa aaine mein ye baal paDe TuuT TuuT ke raftaar mein na kyuun ho chamak raqs-e-naaz ki zohra bhi hai sharik sitaaron mein luuT ke ai rashk-e-mah jo zohra-e-gardun kaa bas chale toDe tumhaare naach ke le jaae luuT ke naqd-e-hayaat-o-jaama-e-tan chhinti hai kyuun ai maut kyaa karegi musaafir ko luuT ke 'ambar ke badle mushk hai mauj-e-khiraam mein zulfon ke baal mil gae fiite se luuT ke afshaan jo chhuTi aap ke maathe se raat ko taare gire zamin par ai maah TuuT ke ro ro ke ruuh jism se kahti hai vaqt-e-naz' ai ghar mileinge dekhiye kab tujh se chhuT ke mujh ko nahin pasand ye farmaaish ai 'munir' kyuun jhuuT baandhun qaafiyon mein TuuT phuuT ke"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi
Quote
"abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai jitni kasaai saif ye kasti chali gai pesh-e-nazar hasinon ki basti chali gai aaine ki bhi husn-parasti chali gai achchhaa kiyaa sharaab khudaa ne haraam ki rindon ke saath baada-parasti chali gai kis shahr se misaal duun aqlim-e-ishq ko jitni ye ujDi aur bhi basti chali gai roze mah-e-siyaam mein toDe sharaab se ham faaqa-maston ki vahi masti chali gai vahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhi ki gurez badle hamaare ghar se barasti chali gai khaain khudaa ki raah mein laakhon hi Thokarein taa-laa-makaan bulandi-o-pasti chali gai maston ne tark-e-mai ki qasam khaai hai to kyaa tauba kahaan vo baat jo masti chali gai in abruon ne ek ishaare mein jaan li yak-dast teri tegh-e-do-dasti chali gai dil hi gayaa to kaun buton kaa kare khayaal kaabe ke saath sang parasti chali gai hai aasmaan tak tire giryaan kaa mazhaka bijli bhi rote dekh ke hansti chali gai go dil ke badle daulat-e-duniya-o-din mili to bhi ye jins haath se sasti chali gai daagh-e-sharaab daaman-e-taqvaa mein rah gayaa nashshe ko ruh-e-shaikh tarasti chali gai tahtus-saraa ko pahunchi hamaari farotani ham jitne past ho gae pasti chali gai kyuun kar ho ijtimaa-e-naqizain ai 'munir' aate hi maut ke miri hasti chali gai"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi
Quote
"kuchh nahin haasil sipar ko chiir ko yaa talvaar toD hai agar taaqat to mere aansuon kaa taar toD teri chashm o zulf se saudaa-e-ham-chashmi kiyaa ai sanam baadaam-e-chashm-e-aahu-e-taataar toD zulf mein moti pironaa mere haq mein zahr hai aaj ai mashshaata-e-dandaan dahaan-e-yaar toD silsila gabr-o-musalmaan ki adaavat kaa miTaa ai pari be-parda ho kar subha-o-zunnaar toD kibr bhi hai shirk ai zaahid muvahhid ke huzur le ke tesha khaaksaari kaa but-e-pindaar toD aab-e-gauhar se badan ki aab hoti hai kharaab bojh hai ai naaznin ye motiyon kaa haar toD sharm kab tak ai pari laa haath kar iqraar-e-vasl apne dil ko sakht kar ke rishta-e-inkaar toD sabr kab tak raah paidaa ho ki ai dil jaan jaae ek Takkar maar kar sar phoD yaa divaar toD ai zulekhaa naqd-e-jaan ham dein lagaa tu ganj-e-zar qimat-e-yusuf kaa ho jaae sar-e-baazaar toD vasf-e-chashm-e-yaar likhne ke liye ai dast-e-shauq chal kisi gulshan mein shaakh-e-nargis-e-bimaar toD chaDh ke koThe par dikhaa de apne abru mein shikan ai pari-paikar halaak-e-charkh ki talvaar toD aaina hai maane-e-nazzaara-e-husn-o-jamaal ho sake to sadd-e-askandar ko ai dildaar toD maane-e-masti ko bad-masti dikhaanaa chaahiye mohtasib kaa shisha-e-dil ai bu-e-mai-khvaar toD husn-e-peshaani se qasr-e-charkh ko barbaad kar lauh-e-quraan se tilism-e-gumbad-e-davvaar toD naam ko ai dil na rakh asbaab-e-islaah-e-junun vaadi-e-vahshat mein chal kar nashtar-e-har-khaar toD aankhein phoD us ki jo dekhe be-ijaazat munh tiraa shauq se ai mast jaam-e-sharbat-e-didaar toD ishq-e-zulf-e-ambar-afshaan kaa na TuuTe silsila paanv ki zanjir ai dast-e-junun sau baar toD saail-e-bosa hain un ko dekh chashm-e-qahr se aankh ke Dhelon se ai but khaatir-e-aghyaar toD husn-e-gham mein ek muddat se muqayyad hai 'munir' fikr-e-duniyaa kaa hisaar ai haidar-e-karraar toD"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi
Quote
"kartaa hai baagh-e-dahr mein nairangiyaan basant aayaa hai laakh rang se ai baaghbaan basant ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath paataa hai aa ke rang-e-talaai yahaan basant joban par in dinon hai bahaar-e-nashaat-e-baagh letaa hai phuul bhar ke yahaan jholiyaan basant mubaaf zard rang hai sumbul ki choT mein khotaa hai bu-e-gul ki pareshaaniyaan basant navvaab-e-naam-daar 'zafar-jang' ke huzur gaati hai aa ke zohra-e-gardun-makaan basant jaam-e-aqiq zard hai nargis ke haath mein taqsim kar rahaa hai mai-e-arghavaan basant hote hain taairaan-e-chaman nargisi kabaab kah do ki is qadar na kare garmiyaan basant chehre tamaam zard hain daulat ke rang se koThi mein ho gayaa hai saraapaa ayaan basant niilaa huaa hai munh gul-e-sausan kaa baagh mein letaa hai ikhtilaat mein kyaa chuTkiyaan basant kaDve dhare hue hain jo navvaab ke huzur baahar hai apne jaame se ai baaghbaan basant pukhraaj ke gilaason mein hai laala-gun sharaab sone kaa paani pi ke hai ratab-ul-lisaan basant sarson jo phuli dida-e-jaam-e-sharaab mein bint-ul-anab se karne lagaa shokhiyaan basant zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke masruf paa-e-boss mein hai har zamaan basant main gard-posh ho ke banaa shaakh-e-zaafaraan lipTaa huaa hai mere badan se yahaan basant kartaa huun ab tamaam duaa par ye chand sher aayaa pasand majmaa-e-ahl-e-zamaan basant jab tak ki mahv-e-qahqaha huun gul hazaar mein rangin taar hai sifat-e-zaafaraan basant yaarab hazaar saal salaamat rahein huzur ho roz jashn-e-id yahaan jaavedaan basant ahbaab surkh-ru rahein dushman hon zard-ru jab tak manaaein mardum-e-hindostaan basant zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe is baagh se na jaae miyaan-e-khizaan basant taqdir mein thi furqat-e-yaaraan-e-lucknow is shahr mein 'munir' kahaan thaa kahaan basant"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi
Quote
"jo zauq hai ki ho daryaaft aabru-e-sharaab to chashm-e-jaam se ai shaikh dekh su-e-sharaab kabhi to de gul-e-dastaar-e-shaikh bu-e-sharaab qabaa ki bel mein yaarab lage kadu-e-sharaab vo mast hain jo hain majruh-e-tegh-e-mauja-e-mai jigar ke chaak pe ai gul bane subu-e-sharaab jo aashiq-e-lab-e-be-gun-e-yaar ho farhaad to be-sutun se bhi jaae shir-e-ju-e-sharaab vo mast hain ki jo tiijaa pas-e-fanaa hogaa hamaare phuul baneinge gul-e-kadu-e-sharaab hamesha mai-kade mein khush-qadon kaa majmaa hai hazaaron sarv lage hain kinaare ju-e-sharaab lagaain taak ke us mast ne jo talvaarein dahaan-e-zakhm-e-badan se bhi aai bu-e-sharaab Dubo diyaa mujhe tufaan-e-mai ne ai saaqi amiq-tar qadd-e-aamdam se nikle ju-e-sharaab namaaz shukr ki paDhtaa hai jaam toD ke shaikh vazu ke vaaste letaa hai aabru-e-sharaab vo rashk-e-hur mai-e-mushkbu kaa khvaahaan hai gul-e-bahisht hai mushtaaq-e-rang-o-bu-e-sharaab sadaa-e-qulqul-e-minaa se ho gayaa saabit ki peT bhar ke karein mast guftugu-e-sharaab ba-rang-e-shisha-e-mai ab ki fasl-e-baarish mein kareinge baiTh ke kashti mein sair-e-ju-e-sharaab khulaa ye shishon ke jhukne se haal ai saaqi ki sar-kashi nahin laazim hai ru-ba-ru-e-sharaab asir-e-daam-e-alaaeq hon kis tarah mai-khvaar ki rassiyon mein nahin baandhte subu-e-sharaab na ho jo kisht-e-amal apni sabz ai saaqi riyaaz-e-khuld se ham kaaT laaein ju-e-sharaab ilaaj-e-zoaf-e-basar nur-e-mai hai maston ko hamaari aaankhon ki chashma banegi ju-e-sharaab pataa lagaa ke gayaa su-e-gulshan-e-jannat kahaan kahaan nahin ki main ne justuju-e-sharaab kisi ne saaghar-e-mai se gulon ko di tashbih nasim-e-baagh se aai jo aaj bu-e-sharaab mileinge saaghar-o-minaa jo khaali use saaqi kareinge dida-o-dil apni justuju-e-sharaab kiyaa jo mai-kashon ne azm-e-sair-e-aalam-e-aab to badle tonbon ke haath aa gai kadu-e-sharaab kharid-e-jins-e-shafaaat mein hogi kaifiyat hamaari gaanTh mein hai naqd-e-aabru-e-sharaab bahak ke jaaun jo masti mein jaanib-e-kausar to mujh ko dast-e-subu khinch laae su-e-sharaab ye kis ke aane se mai-khaana mein hui shaadi dulhan ke itr se milti hai aaj bu-e-sharaab badan jo TuuT rahaa hai zuruf-e-mai ke saath banaa hai kyaa gul-e-aadam se har subu-e-sharaab vo rashk-e-mai kare baalaa-e-baam mai-khvaari ilaahi aaj khat-e-kahkahshaan ho ju-e-sharaab zuruf-e-baada-e-gul-gun ho mere kaandhon par farishton se bhi main uThvaaun har subu-e-sharaab khulaa ye phulon ke hone se haal ai zaahid pas-e-fanaa bhi hai rindon ko aarzu-e-sharaab sunaa hai paas masihaa ke aaftaab bhi hai kareinge maut ke hiile se justuju-e-sharaab na ho saki koi taazir-e-mai-kashi saabit ziyaada had se baDhi aaj guftugu-e-sharaab gadaa-e-baada huun ulfat mein chashm-e-maigun ke tire faqir kaa tonbaa banaa kadu-e-sharaab huzur-e-dukhtar-e-zar haath paanv kaanpte hain tamaam maston ko raasha hai ru-ba-ru-e-sharaab 'munir' saaqi-e-kausar se luun sharaab-e-tuhur kabhi main aankh uThaa kar na dekhun su-e-sharaab"
Muneer ShikohabadiMuneer Shikohabadi