Quote
"vahshat-zadon ki kitni dilchasp hain adaaein kuchh der khuun roein kuchh der muskuraaein hairaan hain kidhar ham bahr-e-talaash jaaein aati hain har taraf se un ki hi ab sadaaein gunji huiin hain mere naalon se ye fazaaein yaa kaali kaali raatein karti hain saaein saaein us vaqt khaas rahrav himmat na haar jaaein manzil qarib samjhein jab paanv Dagmagaaein ye dekhnaa hai mujh par kyaa bijliyaan giraaein badli to hain havaaein uTThi to hain ghaTaaein uf sharmgin nigaahein baarbaad-kun adaaein ye nimche kisi ke dil mein na Duub jaaein ab hichkiyaan bani hain rukh nazaa mein badal kar maayus aarzuein naakaam iltijaaein dil ki tabaahiyon par masrur hone vaale dil hi na ho to tere jalve kahaan samaaein pahle hi sochte tum aahon kaa ab gila kyaa jo bandh gaiin havaaein vo bandh gaiin havaaein main lafz-e-dost sun kar Dartaa huun dil hi dil mein vo mujh se 'abr' ki hain ahbaab ne daghaaein"
