"jab dard mohabbat kaa mire paas nahin thaa main kaun huun kyaa huun mujhe ehsaas nahin thaa TuuTaa miraa har khvaab huaa jab se judaa vo itnaa to kabhi dil miraa be-aas nahin thaa aayaa jo mire paas mire honT bhigone vo ret kaa dariyaa thaa miri pyaas nahin thaa baiThaa huun main tanhaai ko siine se lagaa ke is haal mein jiinaa to mujhe raas nahin thaa kab jaan sakaa dard miraa dekhne vaalaa chehra mire haalaat kaa akkaas nahin thaa kyuun zahr banaa us kaa tabassum mere haq mein ai 'naqsh' vo ik dost thaa almaas nahin thaa"
ek aansu giraa sochte sochte — Naqsh Layalpuri
"ek aansu giraa sochte sochte yaad kyaa aa gayaa sochte sochte kaun thaa kyaa thaa vo yaad aataa nahin yaad aa jaaegaa sochte sochte jaise tasvir laTki ho divaar se haal ye ho gayaa sochte sochte sochne ke liye koi rasta nahin main kahaan aa gayaa sochte sochte main bhi rasman taalluq nibhaataa rahaa vo bhi aksar milaa sochte sochte faisle ke liye ek pal thaa bahut ek mausam gayaa sochte sochte 'naqsh' ko fikr raatein jagaati rahin aaj vo so gayaa sochte sochte"
ایک آنسو گرا سوچتے سوچتے یاد کیا آ گیا سوچتے سوچتے کون تھا کیا تھا وہ یاد آتا نہیں یاد آ جائے گا سوچتے سوچتے جیسے تصویر لٹکی ہو دیوار سے حال یہ ہو گیا سوچتے سوچتے سوچنے کے لیے کوئی رستہ نہیں میں کہاں آ گیا سوچتے سوچتے میں بھی رسماً تعلق نبھاتا رہا وہ بھی اکثر ملا سوچتے سوچتے فیصلے کے لیے ایک پل تھا بہت ایک موسم گیا سوچتے سوچتے نقشؔ کو فکر راتیں جگاتی رہیں آج وہ سو گیا سوچتے سوچتے
एक आँसू गिरा सोचते सोचते याद क्या आ गया सोचते सोचते कौन था क्या था वो याद आता नहीं याद आ जाएगा सोचते सोचते जैसे तस्वीर लटकी हो दीवार से हाल ये हो गया सोचते सोचते सोचने के लिए कोई रस्ता नहीं मैं कहाँ आ गया सोचते सोचते मैं भी रस्मन तअ'ल्लुक़ निभाता रहा वो भी अक्सर मिला सोचते सोचते फ़ैसले के लिए एक पल था बहुत एक मौसम गया सोचते सोचते 'नक़्श' को फ़िक्र रातें जगाती रहीं आज वो सो गया सोचते सोचते

More by Naqsh Layalpuri
View all →"vo aaegaa dil se duaa to karo namaaz-e-mohabbat adaa to karo milegaa koi ban ke unvaan bhi kahaani ki tum ibtidaa to karo samajhne lagoge nazar ki zabaan mohabbat se dil aashnaa to karo tumhein maar Daaleingi tanhaaiyaan hamein apne dil se judaa to karo tumhaare karam se hai ye zindagi main bujh jaaungaa tum havaa to karo hazaaron manaazir nigaahon mein hain rukoge kahaan faisla to karo pukaare tumhein kucha-e-aarzu kabhi 'naqsh' dil kaa kahaa to karo"
"apnaa daaman dekh kar ghabraa gae khuun ke chhinTe kahaan tak aa gae bhuul thi apni kisi qaatil ko ham devtaa samjhe the dhoka khaa gae har-qadam par saath hain rusvaaiyaan ham to apne aap se sharmaa gae ham chale the un ke aansu ponchhne apni aankhon mein bhi aansu aa gae saath un ke meri duniyaa bhi gai aah vo duniyaa se meri kyaa gae 'naqsh' koi ham bhi jaaein chhoD kar jaise 'mir'-o-'ghaalib'-o-'saudaa' gae"
"tamaam-umr chalaa huun magar chalaa na gayaa tiri gali ki taraf koi raasta na gayaa tire khayaal ne pahnaa shafaq kaa pairaahan miri nigaah se rangon kaa silsila na gayaa baDaa ajiib hai afsaana-e-mohabbat bhi zabaan se kyaa ye nigaahon se bhi kahaa na gayaa ubhar rahe hain fazaaon mein subh ke aasaar ye aur baat mire dil kaa Dubnaa na gayaa khule darichon se aayaa na ek jhonkaa bhi ghuTan baDhi to havaaon se dostaana gayaa kisi ke hijr se aage baDhi na umr miri vo raat biit gai 'naqsh' ratjagaa na gayaa"
"main duniyaa ki haqiqat jaantaa huun kise milti hai shohrat jaantaa huun miri pahchaan hai she'r-o-sukhan se main apni qadr-o-qimat jaantaa huun teri yaadein hain shab-bedaariyaan hain hai aankhon ko shikaayat jaantaa huun main rusvaa ho gayaa huun shahr-bhar mein magar kis ki badaulat jaantaa huun ghazal phulon si dil sahraaon jaisaa main ahl-e-fan ki haalat jaantaa huun taDap kar aur taDpaaegi mujh ko shab-e-gham teri fitrat jaantaa huun sahar hone ko hai aisaa lage hai main suraj ki siyaasat jaantaa huun diyaa hai 'naqsh' jo gham zindagi ne use main apni daulat jaantaa huun"
"tujh ko sochaa to kho gaiin aankhein dil kaa aaina ho gaiin aankhein khat kaa paDhnaa bhi ho gayaa mushkil saaraa kaaghaz bhigo gaiin aankhein kitnaa gahraa hai ishq kaa dariyaa is ki tah mein Dubo gaiin aankhein koi jugnu nahin tasavvur kaa kitni viraan ho gaiin aankhein do dilon ko nazar ke dhaage se ik laDi mein piro gaiin aankhein raat kitni udaas baiThi hai chaand niklaa to so gaiin aankhein 'naqsh' aabaad kyaa hue sapne aur barbaad ho gaiin aankhein"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"kaaba-e-dil ko agar Dhaaiyegaa yaad rakhiye ki sazaa paaiyegaa yaad mein meri jo ghabraaiyegaa meri turbat pe chale aaiyegaa thoDi taklif sahi aane mein do ghaDi baiTh ke uTh jaaiyegaa yaad dilvaa ke vo agli baatein bhari mahfil mein na rulvaaiyegaa haal-e-dil kahiye to farmaate hain bakte bakte miraa sar khaaiyegaa yak zaraa aap ko ham dekh to lein baiThiye baiThiye phir jaaiyegaa ye 'haqir' aap se Darne kaa nahin aankhein bas ghair ko dikhlaaiyegaa"