SHAWORDS

kar diyaa dahr ko andher kaa maskan kaisaa — Natiq Gulavthi

HomeNatiq GulavthiGhazal
"kar diyaa dahr ko andher kaa maskan kaisaa har taraf naam kiyaa aap ne raushan kaisaa lag gai ek jhaDi jab miraa ji bhar aayaa log saavan ko liye phirte hain saavan kaisaa dukhtar-e-raz se ulajhte ho ye kyaa hazrat-e-shaikh banda-parvar ye buDhaape mein laDakpan kaisaa dost hi thaa jise 'naatiq' na hui kuchh parvaa varna royaa hai mire haal pe dushman kaisaa"
Urdu

کر دیا دہر کو اندھیر کا مسکن کیسا ہر طرف نام کیا آپ نے روشن کیسا لگ گئی ایک جھڑی جب مرا جی بھر آیا لوگ ساون کو لئے پھرتے ہیں ساون کیسا دختر رز سے الجھتے ہو یہ کیا حضرت شیخ بندہ پرور یہ بڑھاپے میں لڑکپن کیسا دوست ہی تھا جسے ناطقؔ نہ ہوئی کچھ پروا ورنہ رویا ہے مرے حال پہ دشمن کیسا

Hindi

कर दिया दहर को अंधेर का मस्कन कैसा हर तरफ़ नाम किया आप ने रौशन कैसा लग गई एक झड़ी जब मिरा जी भर आया लोग सावन को लिए फिरते हैं सावन कैसा दुख़्तर-ए-रज़ से उलझते हो ये क्या हज़रत-ए-शैख़ बंदा-परवर ये बुढ़ापे में लड़कपन कैसा दोस्त ही था जिसे 'नातिक़' न हुई कुछ पर्वा वर्ना रोया है मिरे हाल पे दुश्मन कैसा

kar diyā dahr ko andher kā maskan kaisā
N
Natiq Gulavthi
Natiq Gulavthi
poet138 quotes

More by Natiq Gulavthi

View all →
Quote
"kyuun khayaal-e-ranj-o-raahat se na hon begaana ham jalva-gaah-e-yaar hai dil yaa'ni khalvat-khaana ham hain kabhi vaa'iz kabhi hain murshid-e-mai-khaana ham ghumte jaate hain hasb-e-gardish-e-paimaana ham laakh par bhaari hain teri dast-giri chaahiye kyuun kisi pe baar hon ai himmat-e-mardaana ham khaaiye ye zahr kab tak khaae jaati hai ye ziist ai ajal kab tak raheinge rahn-e-aab-o-daana ham tu hamein kahtaa hai divaana to divaane sahi pand-go aakhir tujhe ab kyaa kahein divaana ham muddai dil 'ishq aain-o-adaalat bazm-e-naaz did-baazi jurm mujrim aankh hai jurmaana ham aab-e-ashk-o-aatish-e-shauq-o-havaa-e-aah se hain vajud-aaraai-e-khaakistar-e-parvaana ham gum hai naam-e-aamiri khuub ai nigaah-e-saamri tere afsun se bane hain zinat-e-afsaana ham vajh-e-rusvaai hai 'naatiq' masti-e-bazm-e-sukhan baada-paimaa hain ba-jaam-e-ghaalib-e-mastaana ham"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"baada-masti aa karaamat ho ke maikhaane mein aa chal pari shishe se uD kar mere paimaane mein aa dusraa aisaa kahaan ai dasht khalvat kaa maqaam apni viraani ko le kar mere viraane mein aa vahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi tangi-e-zindaan kisi pahlu se divaane mein aa kar murattab kuchh nae andaaz se apnaa bayaan marne vaale zindagi chaahe to afsaane mein aa chal nikal jaaein idhar se apni duniyaa ki taraf haan tu ai taar-e-nafas tasbih ke daane mein aa pel zor aape se baahar ho ke jaaegaa kahaan aadmi ban aadmi aa apne paimaane mein aa daaman-e-faanus mein ai shama khud-daari nahin kisvat-e-naamus agar chaahe to parvaane mein aa khatm karnaa chaahtaa huun pech-o-taab-e-zindagi yaad-e-gesu zor-e-baazu ban mire shaane mein aa ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaaba 'naatiq' ab to aam barhaman bhi mujh se kahtaa hai ki but-khaane mein aa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"jiine degaa bhi hamein ai dil jiein bhi yaa na ham kyaa kahein ab tujh ko ham tujh ko kahein ab kyaa na ham uTh gae ham darmiyaan se uTh gayaa ham se hijaab rah gae ham us ke ho kar rah gayaa pardaa, na ham daulat-e-dil kyaa hai jaa kar ahl-e-dil se puchhiye maal thaa apnaa bhi kuchh jaane magar rakhnaa na ham ranj-e-rusvaai nahin duniyaa hai rusvaai kaa ghar hain sabhi rusvaa to yuun samjho na tum rusvaa na ham faaeda kyaa rahti duniyaa tak agar koi rahaa ye to zaahir hai ki rahne ke liye duniyaa na ham khaa gai ahl-e-havas ki vaza ahl-e-ishq ko baat kis ki rah gai koi adu sachchaa na ham khud-faraamoshi ne rakkhaa hai giraftaar-e-khudi chhuTte kyuun chhoDte daaman agar apnaa na ham is se kuchh hoti agar 'naatiq' hamein taskin-e-taba aaj tak sab jama kar lete kalaam apnaa na ham"
N
Natiq Gulavthi