"kyaa iraade hain vahshat-e-dil ke kis se milnaa hai khaak mein mil ke ai dil-e-shikva-sanj kyaa guzri kis liye honT rah gae sil ke miTte jaate hain raah-e-umr mein dost mil rahe hain nishaan manzil ke chhoD 'naatiq' fazaa-e-bazm-e-shikast uTh ke TukDe sambhaal le dil ke"
baada-masti aa karaamat ho ke maikhaane mein aa — Natiq Gulavthi
"baada-masti aa karaamat ho ke maikhaane mein aa chal pari shishe se uD kar mere paimaane mein aa dusraa aisaa kahaan ai dasht khalvat kaa maqaam apni viraani ko le kar mere viraane mein aa vahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi tangi-e-zindaan kisi pahlu se divaane mein aa kar murattab kuchh nae andaaz se apnaa bayaan marne vaale zindagi chaahe to afsaane mein aa chal nikal jaaein idhar se apni duniyaa ki taraf haan tu ai taar-e-nafas tasbih ke daane mein aa pel zor aape se baahar ho ke jaaegaa kahaan aadmi ban aadmi aa apne paimaane mein aa daaman-e-faanus mein ai shama khud-daari nahin kisvat-e-naamus agar chaahe to parvaane mein aa khatm karnaa chaahtaa huun pech-o-taab-e-zindagi yaad-e-gesu zor-e-baazu ban mire shaane mein aa ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaaba 'naatiq' ab to aam barhaman bhi mujh se kahtaa hai ki but-khaane mein aa"
بادہ مستی آ کرامت ہو کے میخانے میں آ چل پری شیشے سے اڑ کر میرے پیمانے میں آ دوسرا ایسا کہاں اے دشت خلوت کا مقام اپنی ویرانی کو لے کر میرے ویرانے میں آ وحشت دل کی نہیں تدبیر جز افسردگی تنگیٔ زنداں کسی پہلو سے دیوانے میں آ کر مرتب کچھ نئے انداز سے اپنا بیاں مرنے والے زندگی چاہے تو افسانے میں آ چل نکل جائیں ادھر سے اپنی دنیا کی طرف ہاں تو اے تار نفس تسبیح کے دانے میں آ پیل زور آپے سے باہر ہو کے جائے گا کہاں آدمی بن آدمی آ اپنے پیمانے میں آ دامن فانوس میں اے شمع خود داری نہیں کسوت ناموس اگر چاہے تو پروانے میں آ ختم کرنا چاہتا ہوں پیچ و تاب زندگی یاد گیسو زور بازو بن مرے شانے میں آ ہو چلی ہے رسم اہل کعبہ ناطقؔ اب تو عام برہمن بھی مجھ سے کہتا ہے کہ بت خانے میں آ
बादा-मस्ती आ करामत हो के मयख़ाने में आ चल परी शीशे से उड़ कर मेरे पैमाने में आ दूसरा ऐसा कहाँ ऐ दश्त ख़ल्वत का मक़ाम अपनी वीरानी को ले कर मेरे वीराने में आ वहशत-ए-दिल की नहीं तदबीर जुज़ अफ़्सुर्दगी तंगी-ए-ज़िंदाँ किसी पहलू से दीवाने में आ कर मुरत्तब कुछ नए अंदाज़ से अपना बयाँ मरने वाले ज़िंदगी चाहे तो अफ़्साने में आ चल निकल जाएँ इधर से अपनी दुनिया की तरफ़ हाँ तू ऐ तार-ए-नफ़स तस्बीह के दाने में आ पेल ज़ोर आपे से बाहर हो के जाएगा कहाँ आदमी बन आदमी आ अपने पैमाने में आ दामन-ए-फ़ानूस में ऐ शम्अ' ख़ुद-दारी नहीं किसवत-ए-नामूस अगर चाहे तो परवाने में आ ख़त्म करना चाहता हूँ पेच-ओ-ताब-ए-ज़िंदगी याद-ए-गेसू ज़ोर-ए-बाज़ू बन मिरे शाने में आ हो चली है रस्म-ए-अहल-ए-काबा 'नातिक़' अब तो आम बरहमन भी मुझ से कहता है कि बुत-ख़ाने में आ
More by Natiq Gulavthi
View all →"kyuun khayaal-e-ranj-o-raahat se na hon begaana ham jalva-gaah-e-yaar hai dil yaa'ni khalvat-khaana ham hain kabhi vaa'iz kabhi hain murshid-e-mai-khaana ham ghumte jaate hain hasb-e-gardish-e-paimaana ham laakh par bhaari hain teri dast-giri chaahiye kyuun kisi pe baar hon ai himmat-e-mardaana ham khaaiye ye zahr kab tak khaae jaati hai ye ziist ai ajal kab tak raheinge rahn-e-aab-o-daana ham tu hamein kahtaa hai divaana to divaane sahi pand-go aakhir tujhe ab kyaa kahein divaana ham muddai dil 'ishq aain-o-adaalat bazm-e-naaz did-baazi jurm mujrim aankh hai jurmaana ham aab-e-ashk-o-aatish-e-shauq-o-havaa-e-aah se hain vajud-aaraai-e-khaakistar-e-parvaana ham gum hai naam-e-aamiri khuub ai nigaah-e-saamri tere afsun se bane hain zinat-e-afsaana ham vajh-e-rusvaai hai 'naatiq' masti-e-bazm-e-sukhan baada-paimaa hain ba-jaam-e-ghaalib-e-mastaana ham"
"nahin ruktaa to jaa khudaa-haafiz ai dil-e-mubtalaa khudaa-haafiz aai hogi to maut aaegi tum to jaao miraa khudaa haafiz ham chale rehn-e-aarzu ho kar dil-e-be-muddaaa khudaa-haafiz ek kaafir ki hai nazar dil par mere imaan kaa khudaa haafiz bas khudaa yaad aa gayaa 'naatiq' jab vo kah kar chalaa khudaa-haafiz"
"aa ke bazm-e-hasti mein kyaa bataaein kyaa paayaa ham ko thaa hi kyaa lenaa but mile khudaa paayaa hai maraz to jo kuchh hai thi davaa to jaisi thi chaarasaaz ko ham ne haan ghaTaa huaa paayaa dusron ko kyaa kahiye dusri hai duniyaa hi ek ek apne ko ham ne dusraa paayaa kam samajh mein aate hain ab to us ke gul-buTe ham ne naqsh-e-hasti ko kuchh miTaa miTaa paayaa baiTh kar to 'naatiq' se baat ki nahin ham ne raah chalte dekhaa thaa kuchh chalaa huaa paayaa"
"khirad-aamoz hasti hai magar ab kyaa kahun vo bhi ki ban jaati hai divaanon ki duniyaa mein junun vo bhi savaal ik be-muravvat se talab aisi ki kyaa kahiye ham apni zindagi se maangte hain aur sukun vo bhi buton ke saath li di si jo yaad-allaah baaqi hai to kyaa shaikh-e-haram tere liye main chhoD duun vo bhi riyaa-kaari ke sajde shaikh le baiTheinge masjid ko kisi din dekhnaa ho kar rahegi sar-nigun vo bhi dharaa kyaa hai jo ham se yaad-e-maazi le ke jaaegi jab aa jaati hai to do ghunT pi leti hai khuun vo bhi gae sab valvale saari umidein ho gaiin rukhsat bachi hai zindagi baaqi to ab main kyaa karun vo bhi niraali baat duniyaa-e-dani mein kaun si hoti yahaan to didani hai aur miraa haal-e-zabun vo bhi musibat zindagi ki kis ke ghar ab sar chhupaaegi ajal itni ijaazat de ki main letaa chalun vo bhi mohabbat ho to ho bhi jaae sar-bar chashm-e-pur-fan se abhi se kyaa kahun 'naatiq' fusun ye bhi fusun vo bhi"
"jiine degaa bhi hamein ai dil jiein bhi yaa na ham kyaa kahein ab tujh ko ham tujh ko kahein ab kyaa na ham uTh gae ham darmiyaan se uTh gayaa ham se hijaab rah gae ham us ke ho kar rah gayaa pardaa, na ham daulat-e-dil kyaa hai jaa kar ahl-e-dil se puchhiye maal thaa apnaa bhi kuchh jaane magar rakhnaa na ham ranj-e-rusvaai nahin duniyaa hai rusvaai kaa ghar hain sabhi rusvaa to yuun samjho na tum rusvaa na ham faaeda kyaa rahti duniyaa tak agar koi rahaa ye to zaahir hai ki rahne ke liye duniyaa na ham khaa gai ahl-e-havas ki vaza ahl-e-ishq ko baat kis ki rah gai koi adu sachchaa na ham khud-faraamoshi ne rakkhaa hai giraftaar-e-khudi chhuTte kyuun chhoDte daaman agar apnaa na ham is se kuchh hoti agar 'naatiq' hamein taskin-e-taba aaj tak sab jama kar lete kalaam apnaa na ham"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"