SHAWORDS

kis qadar kam-asaas hain kuchh log — Aziz Bano Darab Wafa

"kis qadar kam-asaas hain kuchh log sirf apnaa qayaas hain kuchh log jin ko divaar-o-dar bhi Dhak na sake is qadar be-libaas hain kuchh log mutmain hain bahut hi duniyaa se phir bhi kitne udaas hain kuchh log vo bure hon bhale hon jaise hon kuchh hon logon ko raas hain kuchh log mausamon kaa koi asar hi nahin in pe jangal ki ghaas hain kuchh log tirgi mein nazar nahin aate saae ki tarah paas hain kuchh log"
Urdu

کس قدر کم اساس ہیں کچھ لوگ صرف اپنا قیاس ہیں کچھ لوگ جن کو دیوار و در بھی ڈھک نہ سکے اس قدر بے لباس ہیں کچھ لوگ مطمئن ہیں بہت ہی دنیا سے پھر بھی کتنے اداس ہیں کچھ لوگ وہ برے ہوں بھلے ہوں جیسے ہوں کچھ ہوں لوگوں کو راس ہیں کچھ لوگ موسموں کا کوئی اثر ہی نہیں ان پہ جنگل کی گھاس ہیں کچھ لوگ تیرگی میں نظر نہیں آتے سائے کی طرح پاس ہیں کچھ لوگ

Hindi

किस क़दर कम-असास हैं कुछ लोग सिर्फ़ अपना क़यास हैं कुछ लोग जिन को दीवार-ओ-दर भी ढक न सके इस क़दर बे-लिबास हैं कुछ लोग मुतमइन हैं बहुत ही दुनिया से फिर भी कितने उदास हैं कुछ लोग वो बुरे हों भले हों जैसे हों कुछ हों लोगों को रास हैं कुछ लोग मौसमों का कोई असर ही नहीं इन पे जंगल की घास हैं कुछ लोग तीरगी में नज़र नहीं आते साए की तरह पास हैं कुछ लोग

kis qadar kam-asās haiñ kuchh log
Aziz Bano Darab Wafa
Aziz Bano Darab Wafa
Aziz Bano Darab Wafa
poet107 quotes

More by Aziz Bano Darab Wafa

View all →
Quote
"haTaa ke mez se ik roz aaina main ne phir apne-aap se rakkhaa na vaasta main ne jab apne-aap se pahchaan apni kho ke mili to khud hi kaaT diyaa apnaa raasta main ne main kam-sini mein bhi guDiyaa kabhi nahin kheli palon mein tai kiyaa barson kaa faasla main ne charaagh huun mujhe jab dhuup raas aa na saki to khud sikoD liyaa apnaa daaera main ne main apne aap mein huun yaa nahin, kabhi apnaa kisi ko Thiik bataayaa nahin pata main ne ajiib kyaa jo bikheraa nahin sameT ke phir tamaam umr umidon kaa silsila main ne"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"na yaad aayaa na bhulaa vo saaneha mujh ko banaa gayaa jo ik aisaa mujassama mujh ko ki raaste mein khaDaa but samajh ke chhoD gayaa tamaam umr ki yaadon kaa qaafila mujh ko main so rahi thi usi daastaan mein sadiyon se sulaa gayaa thaa jahaan meraa haafiza mujh ko kisi qadim kahaani kaa ik charaagh huun main bujhaa ke chhoD gai taaq par havaa mujh ko phir uTh ke niind mein jaati thi us taraf har shab pukaartaa thaa jidhar se miraa pataa mujh ko magar ye hosh na thaa le ke jaa rahaa hai kahaan bikharti TuTti yaadon kaa silsila mujh ko"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"tu aayaa to dvaar bhiDe the diip bujhaa thaa aangan kaa sudh bisraane vaale mujh ko hosh kahaan thaa tan man kaa jaane kin zulfon ki ghaTaaein chhaai hain meri nazron mein rote rote bhiig chalaa is saal bhi aanchal saavan kaa thoDi der mein thak jaaeinge nil-kamal si rain ke paanv thoDi der mein tham jaaegaa raag nadi ke jhaanjhan kaa phir bhi meri baanhon ki khushbu har Daal pe lachkegi har taaraa hiiraa saa lagegaa mujh ko mere kangan kaa tum aao to ghar ke saare diip jalaa duun lekin aaj meraa jaltaa dil hi akelaa diip hai mere aangan kaa"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa