Quote
"na yaad aayaa na bhulaa vo saaneha mujh ko banaa gayaa jo ik aisaa mujassama mujh ko ki raaste mein khaDaa but samajh ke chhoD gayaa tamaam umr ki yaadon kaa qaafila mujh ko main so rahi thi usi daastaan mein sadiyon se sulaa gayaa thaa jahaan meraa haafiza mujh ko kisi qadim kahaani kaa ik charaagh huun main bujhaa ke chhoD gai taaq par havaa mujh ko phir uTh ke niind mein jaati thi us taraf har shab pukaartaa thaa jidhar se miraa pataa mujh ko magar ye hosh na thaa le ke jaa rahaa hai kahaan bikharti TuTti yaadon kaa silsila mujh ko"
