SHAWORDS

main jo bad-havaas thaa mahv-e-qayaas tum bhi the — Muzaffar Abdali

"main jo bad-havaas thaa mahv-e-qayaas tum bhi the bichhaDte vaqt zaraa saa udaas tum bhi the badalte vaqt kaa manzar thaa sab ki aankhon mein misaal main thaa agar iqtibaas tum bhi the mujhe to daar milaa tum ko kaise takht milaa sunaa hai meri tarah haq-shanaas tum bhi the tumhaare honT se khushiyaan chhalak gaiin kaise uThaae haath mein khaali gilaas tum bhi the akelaa-pan pe kai sher kah diye main ne ye aur baat mire aas paas tum bhi the"
Urdu

میں جو بد حواس تھا محو قیاس تم بھی تھے بچھڑتے وقت ذرا سا اداس تم بھی تھے بدلتے وقت کا منظر تھا سب کی آنکھوں میں مثال میں تھا اگر اقتباس تم بھی تھے مجھے تو دار ملا تم کو کیسے تخت ملا سنا ہے میری طرح حق شناس تم بھی تھے تمہارے ہونٹ سے خوشیاں چھلک گئیں کیسے اٹھائے ہاتھ میں خالی گلاس تم بھی تھے اکیلا پن پہ کئی شعر کہہ دیئے میں نے یہ اور بات مرے آس پاس تم بھی تھے

Hindi

मैं जो बद-हवास था महव-ए-क़यास तुम भी थे बिछड़ते वक़्त ज़रा सा उदास तुम भी थे बदलते वक़्त का मंज़र था सब की आँखों में मिसाल मैं था अगर इक़्तिबास तुम भी थे मुझे तो दार मिला तुम को कैसे तख़्त मिला सुना है मेरी तरह हक़-शनास तुम भी थे तुम्हारे होंट से ख़ुशियाँ छलक गईं कैसे उठाए हाथ में ख़ाली गिलास तुम भी थे अकेला-पन पे कई शेर कह दिए मैं ने ये और बात मिरे आस पास तुम भी थे

maiñ jo bad-havās thā mahv-e-qayās tum bhī the
Muzaffar Abdali
Muzaffar Abdali
Muzaffar Abdali
poet16 quotes

More by Muzaffar Abdali

View all →

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid