"ye mujh se puchhte hain chaaragar kyuun ki tu zinda to hai ab tak magar kyuun jo rasta chhoD ke main jaa rahaa huun usi raste pe jaati hai nazar kyuun thakan se chuur paas aayaa thaa us ke giraa sote mein mujh par ye shajar kyuun sunaaeinge kabhi fursat mein tum ko ki ham barson rahe hain dar-ba-dar kyuun yahaan bhi sab hain begaana hi mujh se kahun main kyaa ki yaad aayaa hai ghar kyuun main khush rahtaa agar samjhaa na hotaa ye duniyaa hai to main huun dida-var kyuun"
main kab se kitnaa huun tanhaa tujhe pataa bhi nahin — Javed Akhtar
"main kab se kitnaa huun tanhaa tujhe pataa bhi nahin tiraa to koi khudaa hai miraa khudaa bhi nahin kabhi ye lagtaa hai ab khatm ho gayaa sab kuchh kabhi ye lagtaa hai ab tak to kuchh huaa bhi nahin kabhi to baat ki us ne kabhi rahaa khaamosh kabhi to hans ke milaa aur kabhi milaa bhi nahin kabhi jo talkh-kalaami thi vo bhi khatm hui kabhi gila thaa hamein un se ab gila bhi nahin vo chikh ubhri baDi der gunji Duub gai har ek suntaa thaa lekin koi hilaa bhi nahin"
میں کب سے کتنا ہوں تنہا تجھے پتا بھی نہیں ترا تو کوئی خدا ہے مرا خدا بھی نہیں کبھی یہ لگتا ہے اب ختم ہو گیا سب کچھ کبھی یہ لگتا ہے اب تک تو کچھ ہوا بھی نہیں کبھی تو بات کی اس نے کبھی رہا خاموش کبھی تو ہنس کے ملا اور کبھی ملا بھی نہیں کبھی جو تلخ کلامی تھی وہ بھی ختم ہوئی کبھی گلہ تھا ہمیں ان سے اب گلہ بھی نہیں وہ چیخ ابھری بڑی دیر گونجی ڈوب گئی ہر ایک سنتا تھا لیکن کوئی ہلا بھی نہیں
मैं कब से कितना हूँ तन्हा तुझे पता भी नहीं तिरा तो कोई ख़ुदा है मिरा ख़ुदा भी नहीं कभी ये लगता है अब ख़त्म हो गया सब कुछ कभी ये लगता है अब तक तो कुछ हुआ भी नहीं कभी तो बात की उस ने कभी रहा ख़ामोश कभी तो हँस के मिला और कभी मिला भी नहीं कभी जो तल्ख़-कलामी थी वो भी ख़त्म हुई कभी गिला था हमें उन से अब गिला भी नहीं वो चीख़ उभरी बड़ी देर गूँजी डूब गई हर एक सुनता था लेकिन कोई हिला भी नहीं

More by Javed Akhtar
View all →"dard kuchh din to mehmaan Thahre ham ba-zid hain ki mezbaan Thahre sirf tanhaai sirf viraani ye nazar jab uThe jahaan Thahre kaun se zakhm par paDaav kiyaa dard ke qaafile kahaan Thahre kaise dil mein khushi basaa luun main kaise muTThi mein ye dhuaan Thahre thi kahin maslahat kahin jurat ham kahin in ke darmiyaan Thahre"
"khulaa hai dar pa tiraa intizaar jaataa rahaa khulus to hai magar e'tibaar jaataa rahaa kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai vahi magar kabhi jo hamein thaa khumaar jaataa rahaa kabhi jo siine mein ik aag thi vo sard hui kabhi nigaah mein jo thaa sharaar jaataa rahaa ajab saa chain thaa ham ko ki jab the ham bechain qaraar aayaa to jaise qaraar jaataa rahaa kabhi to meri bhi sunvaai hogi mahfil mein main ye umiid liye baar baar jaataa rahaa"
"zindagi ki aandhi mein zehn kaa shajar tanhaa tum se kuchh sahaaraa thaa aaj huun magar tanhaa zakhm-khurda lamhon ko maslahat sambhaale hai an-ginat marizon mein ek chaaragar tanhaa buund jab thi baadal mein zindagi thi halchal mein qaid ab sadaf mein hai ban ke hai guhar tanhaa tum fuzul baaton kaa dil pe bojh mat lenaa ham to khair kar leinge zindagi basar tanhaa ik khilaunaa jogi se kho gayaa thaa bachpan mein DhunDtaa phiraa us ko vo nagar nagar tanhaa jhuTpuTe kaa aalam hai jaane kaun aadam hai ik lahad pe rotaa hai munh ko Dhaanp kar tanhaa"
"ye tasalli hai ki hain naashaad sab main akelaa hi nahin barbaad sab sab ki khaatir hain yahaan sab ajnabi aur kahne ko hain ghar aabaad sab bhuul ke sab ranjishein sab ek hain main bataaun sab ko hogaa yaad sab sab ko daavaa-e-vafaa sab ko yaqin is adaakaari mein hain ustaad sab shahr ke haakim kaa ye farmaan hai qaid mein kahlaaeinge aazaad sab chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho us ko kab fursat sune fariyaad sab talkhiyaan kaise na huun ashaar mein ham pe jo guzri hamein hai yaad sab"
"dast-bardaar agar aap ghazab se ho jaaein har sitam bhuul ke ham aap ke ab se ho jaaein chaudhvin shab hai to khiDki ke giraa do parde kaun jaane ki vo naaraaz hi shab se ho jaaein ek khushbu ki tarah phailte hain mahfil mein aise alfaaz adaa jo tire lab se ho jaaein na koi ishq hai baaqi na koi parcham hai log divaane bhalaa kis ke sabab se ho jaaein baandh lo haath ki phailein na kisi ke aage si lo ye lab ki kahin vo na talab se ho jaaein baat to chheD mire dil koi qissa to sunaa kyaa ajab un ke bhi jazbaat ajab se ho jaaein"