Quote
"hovein bar-aks bhalaa kyuun na vo aghyaar se khush kisi maashuq ko dekhaa na vafaadaar se khush har duaa par hamein dushnaam mayassar hai kahaan shaamat-e-nafs hai gar hovein na sarkaar se khush naqd-e-dil bhi jo koi de ke na maange bosa vo huaa karte hain bas aise kharidaar se khush ghaur se main ne jo dekhaa to kahin aalam mein koi hogaa na ziyaada tire bimaar se khush kyaa ajab mujh se khafaa hove agar vo 'aarif' kisi maashuq ko dekhaa na vafaadaar se khush"
