Quote
"naavak kahein sinaan kahein talvaar kyaa kahein tu hi bataa tujhe nigah-e-yaar kyaa kahein shikva na daam kaa hai na sayyaad kaa gila ham aap ho gae hain giraftaar kyaa kahein izhaar-e-haal-e-zaar kaa aison se faaeda aazaar dil kaa tujh se dil-aazaar kyaa kahein karte hain vaaiz aap mazammat sharaab ki kahte hain kyaa janaab ko mai-khvaar kyaa kahein aison se tark-e-mai kaa 'mubaarak' savaal kyaa tauba ki tujh se rind-e-qadah-khvaar kyaa kahein"
