Quote
"baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain dariyaa-e-maarifat ke dekhaa to ham hain saahil gar vaar hain to ham hain aur paar hain to ham hain vaabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to ham hain mukhtaar hain to ham hain teraa hi husn jag mein har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kaam-e-didaar hain to ham hain alfaaz-e-khalq ham bin sab mohmalaat se the maani ki tarah rabt-e-guftaar hain to ham hain auron se to giraani yak-lakht uTh gai hai ai 'dard' apne dil ke gar baar hain to ham hain"
