Quote
"haTaa ke mez se ik roz aaina main ne phir apne-aap se rakkhaa na vaasta main ne jab apne-aap se pahchaan apni kho ke mili to khud hi kaaT diyaa apnaa raasta main ne main kam-sini mein bhi guDiyaa kabhi nahin kheli palon mein tai kiyaa barson kaa faasla main ne charaagh huun mujhe jab dhuup raas aa na saki to khud sikoD liyaa apnaa daaera main ne main apne aap mein huun yaa nahin, kabhi apnaa kisi ko Thiik bataayaa nahin pata main ne ajiib kyaa jo bikheraa nahin sameT ke phir tamaam umr umidon kaa silsila main ne"
