"daavaa to kiyaa husn-e-jahaan-soz kaa sab ne duniyaa kaa magar ruup baDhaayaa tiri chhab ne tu niind mein bhi meri taraf dekh rahaa thaa sone na diyaa mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne har zakhm pe dekhi hain tire pyaar ki mohrein ye gul bhi khilaae hain teri surkhi-e-lab ne khushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-sabaa se phir kis ko pukaaraa hai tire shahr tarab ne darkaar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum patthar se agar phuul ugaae mire rab ne vo husn hai insaan ki meraaj-e-tasavvur jis husn ko puujaa hai mire sher o adab ne"
shab-e-firaaq ko jab muzhda-e-sahar aayaa — Ahmad Nadeem Qasmi
"shab-e-firaaq ko jab muzhda-e-sahar aayaa to ik zamaana tiraa muntazir nazar aayaa tamaam-umr ki sahraa-navardiyon ke baad tiraa maqaam sar-e-gard-e-rahguzar aayaa ye kaun aabla-paa is taraf se guzraa hai nuqush-e-paa mein jo phulon ke rang bhar aayaa kise majaal ki nazzaara-e-jamaal kare is anjuman mein jo aayaa ba-chashm-e-tar aayaa tiri talab ke ghane jangalon mein aag lagi mire khayaal mein jab vahm-e-rahguzar aayaa simaT gayaa miri baahon mein jab vo paikar-e-rang to is kaa rang mujhe duur tak nazar aayaa is aarizon mein ki zid kibriyaa ki puuri ho 'nadim' khaak pe aflaak se utar aayaa"
شب فراق کو جب مژدۂ سحر آیا تو اک زمانہ ترا منتظر نظر آیا تمام عمر کی صحرا نوردیوں کے بعد ترا مقام سر گرد رہ گزر آیا یہ کون آبلہ پا اس طرف سے گزرا ہے نقوش پا میں جو پھولوں کے رنگ بھر آیا کسے مجال کہ نظارۂ جمال کرے اس انجمن میں جو آیا بہ چشم تر آیا تری طلب کے گھنے جنگلوں میں آگ لگی مرے خیال میں جب وہم رہ گزر آیا سمٹ گیا مری باہوں میں جب وہ پیکر رنگ تو اس کا رنگ مجھے دور تک نظر آیا اس عارضوں میں کہ ضد کبریا کی پوری ہو ندیمؔ خاک پہ افلاک سے اتر آیا
शब-ए-फ़िराक़ को जब मुज़्दा-ए-सहर आया तो इक ज़माना तिरा मुंतज़िर नज़र आया तमाम-उम्र की सहरा-नवर्दियों के बा'द तिरा मक़ाम सर-ए-गर्द-ए-रहगुज़र आया ये कौन आबला-पा इस तरफ़ से गुज़रा है नुक़ूश-ए-पा में जो फूलों के रंग भर आया किसे मजाल कि नज़्ज़ारा-ए-जमाल करे इस अंजुमन में जो आया ब-चश्म-ए-तर आया तिरी तलब के घने जंगलों में आग लगी मिरे ख़याल में जब वहम-ए-रहगुज़र आया सिमट गया मिरी बाहोँ में जब वो पैकर-ए-रंग तो इस का रंग मुझे दूर तक नज़र आया इस आरिज़ों में कि ज़िद किब्रिया की पूरी हो 'नदीम' ख़ाक पे अफ़्लाक से उतर आया

More by Ahmad Nadeem Qasmi
View all →"miraa ghurur tujhe kho ke haar maan gayaa main choT khaa ke magar apni qadr jaan gayaa kahin ufuq na milaa meri dasht-gardi ko main teri dhun mein bhari kaaenaat chhaan gayaa khudaa ke baad to be-intihaa andheraa hai tiri talab mein kahaan tak na meraa dhyaan gayaa jabin pe bal bhi na aataa ganvaa ke donon-jahaan jo tu chhinaa to main apni shikast maan gayaa badalte rang the teri umang ke ghammaaz tu mujh se bichhDaa to main teraa raaz jaan gayaa khud apne aap se main shikva-sanj aaj bhi huun 'nadim' yuun to mujhe ik jahaan maan gayaa"
"labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaein khudaa kare mire aansu kisi ke kaam aaein jo ibtidaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe vo bad-nasib kisi kaa suraagh kyaa paaein talaash-e-husn kahaan le chali khudaa jaane umang thi ki faqat zindagi ko apnaaein bulaa rahe hain ufuq par jo zard-ru Tiile kaho to ham bhi fasaanon ke raaz ho jaaein na kar khudaa ke liye baar baar zikr-e-bahisht ham aasmaan kaa mukarrar fareb kyuun khaaein tamaam mai-kada sunsaan mai-gusaar udaas labon ko khol ke kuchh sochti hain minaaein"
"hotaa nahin zauq-e-zindagi kam buniyaad-e-hayaat hai tiraa gham ehsaas-e-jamaal ubhar rahaa hai jab se tiraa iltifaat hai kam tere hi ghamon ne mujh ko bakhshi kaunde ki lapak ghazaal kaa ram saamaan-e-sabaat hain safar mein ummid ki pech raah ke kham shamon ki lavein hain yaa zabaanein aansu hain ki ehtijaaj-e-paiham anjum se khilaaegi shagufe shabnam se ladi hui shab-e-gham tufaan kaa muntazir khaDaa hai ye ain sahar ko shab kaa aalam"
"kisi laa-ilaaj rajaai ne ye khabar chaman mein uDaai hai koi patta jab na ho peD par to samajh lo fasl-e-gul aai hai koi ishtiraak zarur hai vo ho rang kaa ki umang kaa miraa dil bhi to gul-e-surkh hai tiraa haath bhi to hinaai hai vo kashish kuchh aur hi chiiz hai jise husn kahte hain ahl-e-dil na jamaal-e-aariz-o-chashm-o-lab na kamaal-e-chust-qabaai hai safar-e-hayaat ke moD par mujhe tu milaa ki khudaa milaa yahi meraa kaaba-e-justuju yahi meri hadd-e-rasaai hai main jhukun to chaand jhukaa rahe main rukun to vaqt rukaa rahe main tiri vafaa kaa jab ahl huun mire bas mein saari khudaai hai main 'nadim' qarya-e-sim-o-zar se bhi sar-kashida guzar gayaa jo miri anaa kaa ghurur hai miri umr bhar ki kamaai hai"
"apne maahaul se the qais ke rishte kyaa kyaa dasht mein aaj bhi uThte hain bagule kyaa kyaa ishq meaar-e-vafaa ko nahin kartaa nilaam varna idraak ne dikhlaae the raste kyaa kyaa ye alag baat ki barse nahin garje to bahut varna baadal mire sahraaon pe umDe kyaa kyaa aag bhaDki to dar-o-baam hue raakh ke Dher aur dete rahe ahbaab dilaase kyaa kyaa log ashiyaa ki tarah bik gae ashiyaa ke liye sar-e-baazaar tamaashe nazar aae kyaa kyaa lafz kis shaan se takhliq huaa thaa lekin us kaa mafhum badalte rahe nuqte kyaa kyaa ik kiran tak bhi na pahunchi mire baatin mein 'nadim' sar-e-aflaak damakte rahe taare kyaa kyaa"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"