"dekh apne maailon ko ki hain dil jale paDe pazhmurda, dil-fasurda dar uupar Dhale paDe chakki chali hai charkh ki daanaao dekh lo daane bahut hain is mein to aise Dale paDe oho ji de hi Daalo nikaal aisi bhukh mein tum kun to hain samose bahut se tale paDe jab gir paDun huun paanv pa kahte ho munh ko pher tum chhoD sab ko pand hamaare bhale paDe juun jaanun be-kason ke taiin ab nibaah lo ham sab taraf se haar tumhaare gale paDe teraa ho bol-baalaa samajh-bujh sher kah dekh 'azfari' na baat hamaari tale paDe"
soch mein tere sunaa raat jo khaTkaa-paTkaa — Mirza Zahirddin Azfari
"soch mein tere sunaa raat jo khaTkaa-paTkaa sar ko takiye se uThaa paTTi pe de de paTkaa tu ne gar kanghi jo kaakul ko pakaD kar jhaTkaa dil paDaa phirtaa hai sar maartaa bhulaa-bhaTkaa lakht-e-dil aa sar-e-mizhgaan pe laTakte hain paDe teri ulfat ne bhalaa saang dikhaayaa naT kaa jab na tab bose pe haTte ho ki dungaa na kabhi maan kar ye na miri jaan phir aisi haT kaa kyuun tiri chaal laTak dekh ke dil laTke hain kuchh to ham ko bhi bataa kis se ye sikhaa laTkaa naT-khaTi dekh tiri main to achambhe mein rahaa dil jhapaT haath se jhaT raag sunaayaa khaTkaa ghar base bol bhi kuchh kyaa hai kharaabi Thaani kab talak ham se phiregaa yunhi phaTkaa phaTkaa dil-e-gum-gashta ki har ik se main kartaa huun talaash chor jo thaa vahi aankhon ko churaa kar saTkaa"
سوچ میں تیرے سنا رات جو کھٹکا پٹکا سر کو تکیے سے اٹھا پٹی پہ دے دے پٹکا تو نے گر کنگھی جو کاکل کو پکڑ کر جھٹکا دل پڑا پھرتا ہے سر مارتا بھولا بھٹکا لخت دل آ سر مژگاں پہ لٹکتے ہیں پڑے تیری الفت نے بھلا سانگ دکھایا نٹ کا جب نہ تب بوسے پہ ہٹتے ہو کہ دوں گا نہ کبھی مان کر یہ نہ مری جان پھر ایسی ہٹ کا کیوں تری چال لٹک دیکھ کے دل لٹکے ہیں کچھ تو ہم کو بھی بتا کس سے یہ سیکھا لٹکا نٹ کھٹی دیکھ تری میں تو اچنبھے میں رہا دل جھپٹ ہاتھ سے جھٹ راگ سنایا کھٹکا گھر بسے بول بھی کچھ کیا ہے خرابی ٹھانی کب تلک ہم سے پھرے گا یوں ہی پھٹکا پھٹکا دل گم گشتہ کی ہر اک سے میں کرتا ہوں تلاش چور جو تھا وہی آنکھوں کو چرا کر سٹکا
सोच में तेरे सुना रात जो खटका-पटका सर को तकिए से उठा पट्टी पे दे दे पटका तू ने गर कंघी जो काकुल को पकड़ कर झटका दिल पड़ा फिरता है सर मारता भूला-भटका लख़्त-ए-दिल आ सर-ए-मिज़्गाँ पे लटकते हैं पड़े तेरी उल्फ़त ने भला साँग दिखाया नट का जब न तब बोसे पे हटते हो कि दूँगा न कभी मान कर ये न मिरी जान फिर ऐसी हट का क्यूँ तिरी चाल लटक देख के दिल लटके हैं कुछ तो हम को भी बता किस से ये सीखा लटका नट-खटी देख तिरी मैं तो अचंभे में रहा दिल झपट हाथ से झट राग सुनाया खटका घर बसे बोल भी कुछ क्या है ख़राबी ठानी कब तलक हम से फिरेगा यूँही फटका फटका दिल-ए-गुम-गश्ता की हर इक से मैं करता हूँ तलाश चोर जो था वही आँखों को चुरा कर सटका
More by Mirza Zahirddin Azfari
View all →"shitaabi apne divaane ko kar band musalsal zulf se kar yaa nazar-band tiraa shaidaa na Thahraa jaan saa ik dam gayaa le kuut mein lohe ke kar band jo tujh par aur ko tarjih de dekh bas us andhe ki aankhein hain magar band taDaptaa be-qaraari aah-o-zaari huiin ye haalatein kyunkar satar-band hai sho'la aag kaa har aah ke saath ye dil hai yaa hai siine mein sharar band piyaare Dar khudaa se apni aankhein hamaari tarf se itni na kar band tujhe khurshid-ru, ji bhar ke dekhun hui jaati hai meri aankh par band 'azizo misr-e-dil ki raah hai duur rah-e-zulmaat mein higaa ye dar band jo chaahe do jahaan kaa kaam legaa hai baandhaa jis ne himmat kaa kamar-band raho Tuk 'azfari' ab chashm khole raheingi aankh phir shaam-o-sahar band"
"tum khul rahe the ghair se chhaanv tale khaDe ham dast-e-rashk dhuup mein apne male khaDe ham dekh tum ko dauDe ki mil lein gale khaDe tum bhuul ham ko rah gae jaani bhale khaDe baiTho ji mal ke mehndi dikhaao uThaa na haath haathon se ham tumhaare bahut hain jale khaDe hai har nafas ke saath havaai va phuljhaDi ye nakhl-e-aah zor hain phule phale khaDe hai ham pe tohmat-e-maraz-e-ishq 'azfari' ham tum hain dekho thai se change bhale khaDe"
"samajh ghar yaar kaa main shah-nashin-e-dil ko dhotaa huun kahein hain log divaane ki divaana huun rotaa huun bujhaae ashk ye khuun ke jo favvaare uchhalte hain mizha se yaar ke le nashtar aankhon mein chubhotaa huun madad ai khizr-e-girya gharq kariyo naav-e-dil aaj hi ye hai Dubvaane vaalaa main ise pahle Dubotaa huun but-e-sangin dil ki dekh tasvir aankhein pathraain ThiThuk huun naqsh-e-qaalin saa na rotaa huun na sotaa huun main ku-e-maikashaan-o-mahvashaan ke muttasil pahunchaa khabar-daar ai harifo ab havaas-o-hosh khotaa huun mabaadaa mere gul-ru kaa gul-e-rukhsaar murjhaave phuvaar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigotaa huun"
"ji mein kyaa kyaa miri umaahaa thaa par huaa vo jo haq kaa chaahaa thaa nibhi jab tak ki ham nibaah sake aap ne ham ko kab nibaahaa thaa luqqe do chaar saath jaate the kaisaa kal raat hi-hi haahaa thaa chakki raahaa thaa kyaa balaa ye raqib chakki saa munh to is kaa raahaa thaa kuche tere mein raat ko jo gae bhule ham vaan jahaan doraahaa thaa tum jhaTak gae kuchh in dinon pyaare Tok kis ne tumhein saraahaa thaa tum pe thaa jab ki aalam-e-tajrid un dinon main bhi bin-biyaahaa thaa jis gali biich jaa nikalte the tum par aur ham pe aahaa aahaa thaa aa ke tujh se jo thaa milaa laD kar paayaa kyaa 'azfari' ne laahaa thaa"
"aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale jaan-saahab! bin tumhaare khaa ke gham ham mar chale sajde de naaghisniyaan karte hain tum sunte nahin jo na karni thi samaajat vo bhi kar aksar chale aadmi se but kahaae ab khudaai kaa hai azm Tuk karo insaaf apni had se tum baahar chale dekh leveinge guzaare ke taiin ab aur jaa dekhaa bhaari pathar us ko chuum sar se dhar chale aashiqon ne naam teraa le kiyaa qaalib tahi marte marte bhi to teraa hi ye sab dam bhar chale bazm mein tum khul rahe the baiThe dekh ham ko ruk gae gar yuun hi raazi ho lo ji uTh ham apne ghar chale kis ke aae kis se rang-raliyaan kiyaa pyaar aur chaah ishq ki badnaami pyaare rakh ke mujh uupar chale khizr ko shaabaash uktaayaa na ab tak aur ham zindagaani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale aah-o-afghaan to hamaaraa kar rahaa hai zor-shor juun bagulaa yaa ho aandhi yaa koi sarsar chale dekhein kis ki aah kaa us par asar ho 'azfari' ham to bhar maqdur, kar kitnaa hi shor-o-shar chale"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"