SHAWORDS

teraa sach hai tire azaabon mein — Nida Fazli

HomeNida FazliGhazal
"teraa sach hai tire azaabon mein jhuuT likkhaa hai sab kitaabon mein ek se mil ke sab se mil liije aaj har shakhs hai naqaabon mein teraa milnaa tiraa nahin milnaa ek rasta kai saraabon mein un ki naakaamiyon ko bhi giniye jin ki shohrat hai kaamyaabon mein raushni thi savaal ki had tak har nazar kho gai javaabon mein"
Urdu

تیرا سچ ہے ترے عذابوں میں جھوٹ لکھا ہے سب کتابوں میں ایک سے مل کے سب سے مل لیجے آج ہر شخص ہے نقابوں میں تیرا ملنا ترا نہیں ملنا ایک رستہ کئی سرابوں میں ان کی ناکامیوں کو بھی گنیے جن کی شہرت ہے کامیابوں میں روشنی تھی سوال کی حد تک ہر نظر کھو گئی جوابوں میں

Hindi

तेरा सच है तिरे अज़ाबों में झूट लिक्खा है सब किताबों में एक से मिल के सब से मिल लीजे आज हर शख़्स है नक़ाबों में तेरा मिलना तिरा नहीं मिलना एक रस्ता कई सराबों में उन की नाकामियों को भी गिनिए जिन की शोहरत है कामयाबों में रौशनी थी सवाल की हद तक हर नज़र खो गई जवाबों में

terā sach hai tire azāboñ meñ
Nida Fazli
Nida Fazli
ندا فاضلی
poet110 quotes

More by Nida Fazli

View all →
Quote
"hue sab ke jahaan mein ek jab apnaa jahaan aur ham musalsal laDte rahte hain zamin-o-aasmaan aur ham kabhi aakaash ke taare zamin par bolte bhi the kabhi aisaa bhi thaa jab saath thiin tanhaaiyaan aur ham sabhi ik dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the kabhi the ek ghar ke chaand suraj naddiyaan aur ham moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniyaa badalti hai har ik yug mein hamaari daastaan aur ham darakhton ko haraa rakhne ke zimmedaar the donon jo sach puchho baraabar ke hain mujrim baaghbaan aur ham"
Nida FazliNida Fazli