SHAWORDS

us ke dushman hain bahut aadmi achchhaa hogaa — Nida Fazli

HomeNida FazliGhazal
"us ke dushman hain bahut aadmi achchhaa hogaa vo bhi meri hi tarah shahr mein tanhaa hogaa itnaa sach bol ki honTon kaa tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andheraa hogaa pyaas jis nahr se Takraai vo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhoD aae vo dariyaa hogaa mire baare mein koi raae to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi toD ke dekhaa hogaa ek mahfil mein kai mahfilein hoti hain sharik jis ko bhi paas se dekhoge akelaa hogaa"
Urdu

اس کے دشمن ہیں بہت آدمی اچھا ہوگا وہ بھی میری ہی طرح شہر میں تنہا ہوگا اتنا سچ بول کہ ہونٹوں کا تبسم نہ بجھے روشنی ختم نہ کر آگے اندھیرا ہوگا پیاس جس نہر سے ٹکرائی وہ بنجر نکلی جس کو پیچھے کہیں چھوڑ آئے وہ دریا ہوگا مرے بارے میں کوئی رائے تو ہوگی اس کی اس نے مجھ کو بھی کبھی توڑ کے دیکھا ہوگا ایک محفل میں کئی محفلیں ہوتی ہیں شریک جس کو بھی پاس سے دیکھو گے اکیلا ہوگا

Hindi

उस के दुश्मन हैं बहुत आदमी अच्छा होगा वो भी मेरी ही तरह शहर में तन्हा होगा इतना सच बोल कि होंटों का तबस्सुम न बुझे रौशनी ख़त्म न कर आगे अँधेरा होगा प्यास जिस नहर से टकराई वो बंजर निकली जिस को पीछे कहीं छोड़ आए वो दरिया होगा मिरे बारे में कोई राय तो होगी उस की उस ने मुझ को भी कभी तोड़ के देखा होगा एक महफ़िल में कई महफ़िलें होती हैं शरीक जिस को भी पास से देखोगे अकेला होगा

us ke dushman haiñ bahut aadmī achchhā hogā
Nida Fazli
Nida Fazli
ندا فاضلی
poet110 quotes

More by Nida Fazli

View all →
Quote
"hue sab ke jahaan mein ek jab apnaa jahaan aur ham musalsal laDte rahte hain zamin-o-aasmaan aur ham kabhi aakaash ke taare zamin par bolte bhi the kabhi aisaa bhi thaa jab saath thiin tanhaaiyaan aur ham sabhi ik dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the kabhi the ek ghar ke chaand suraj naddiyaan aur ham moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniyaa badalti hai har ik yug mein hamaari daastaan aur ham darakhton ko haraa rakhne ke zimmedaar the donon jo sach puchho baraabar ke hain mujrim baaghbaan aur ham"
Nida FazliNida Fazli

More on Time

View all →
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"aaina huun ki main patthar huun ye kab puchhe hai ziist mujh se mere jiine kaa sabab puchhe hai munkashif hone lage jab se rumuz-o-asraar kuchh savaal ab dil-e-maasum ajab puchhe hai maqsad-e-zist, koi khvaab yaa khvaahish koii? ham ne jab si liye lab apne vo tab puchhe hai har koi apni tag-o-dau mein hai masruf yahaan kaun ab kis ki udaasi kaa sabab puchhe hai vahshat-e-dil mein kami ho bhi to kyaa, haal-e-darun aur baDh jaati hai kuchh, ham se vo jab puchhe hai jis ne barbaad kiyaa khaana-e-dil rah rah kar kyaa qayaamat hai, vahi is kaa sabab puchhe hai koi bhi rishta nikaltaa nahin ham donon mein phir bhi kyuun ham se hamaaraa vo nasab puchhe hai saath guzre the kabhi arsa huaa, mujh se magar aaj bhi teraa pataa raah-e-talab puchhe hai ik nidaa jis ko samajhte hain zamir apnaa sabhi qabl-e-laghzish hamein is shakl mein rab puchhe hai ab ye aalam hai ki khud vahshat-e-dil bhi 'khaalid' ghar mire der se aane kaa sabab puchhe hai"
Quaiser KhalidQuaiser Khalid
Quote
"khud ko kyaa khuun rulaaoge bataao to sahi tum mujhe kaise bhulaaoge bataao to sahi aise chup-chaap tumhein main nahin jaane dungaa tum kabhi lauT ke aaoge bataao to sahi muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar apne siine se lagaaoge bataao to sahi yaad mein meri sabhi kaam se ghaafil ho kar chaar aansu bhi bahaaoge bataao to sahi ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne aur khud khvaab sajaaoge bataao to sahi tum se pahle bhi kai log mujhe chhoD gae main jo ruThungaa manaaoge bataao to sahi tum kisi ko jo kabhi meraa havaala doge meri ghazlein bhi sunaaoge bataao to sahi jab davaa kaam na kar paaegi mujh par 'aarif' tum masihaai ko aaoge bataao to sahi"
Aarif NazeerAarif Nazeer
Quote
"zehn-o-dil mein basi hain divaarein jaane kab se khaDi hain divaarein dhuup utre bhi kaise aangan mein har taraf to khaDi hain divaarein sahn mein ek bhi nahin divaar zehn mein uTh rahi hain divaarein do sage bhaaiyon kaa jhagDaa hai faisla kar rahi hain divaarein meraa chehra mujhe dikhaati hain aaina ban gai hain divaarein kachchi miTTi ke mere ghar ke liye aandhiyon se laDi hain divaarein kaan dhar kar suno ki sadiyon ki daastaan kah rahi hain divaarein aisi divaarein saamne hain mire jin ke pichhe khaDi hain divaarein meraa qad bhi bahut baDaa hai magar mere qad se baDi hain divaarein 'aabid' uDne kaa khvaab kyaa dekhein har taraf to khaDi hain divaarein"
Abid KarhaniAbid Karhani