SHAWORDS

yaa to ruk jaao ki shaayad miraa yaar aa jaae — Achyutam Yadav

HomeAchyutam YadavGhazal
"yaa to ruk jaao ki shaayad miraa yaar aa jaae ghonp do varna ye khanjar ki qaraar aa jaae kyaa khabar tere tabassum ki kushaada rut mein mere naashaad labon par bhi bahaar aa jaae kyaa ye taklif hi hamraah rahegi meri kaash pairon tale is ke koi khaar aa jaae zeb-o-zinat na kar itni ki kahin le ke fughaan kal ko dar par tire phulon ki qataar aa jaae is liye ki hai mohabbat ki zamin tar us ne khushk hon jaise hi aansu to daraar aa jaae"
Urdu

یا تو رک جاؤ کہ شاید مرا یار آ جائے گھونپ دو ورنہ یہ خنجر کہ قرار آ جائے کیا خبر تیرے تبسم کی کشادہ رت میں میرے ناشاد لبوں پر بھی بہار آ جائے کیا یہ تکلیف ہی ہم راہ رہے گی میری کاش پیروں تلے اس کے کوئی خار آ جائے زیب و زینت نہ کر اتنی کہ کہیں لے کے فغاں کل کو در پر ترے پھولوں کی قطار آ جائے اس لئے کی ہے محبت کی زمیں تر اس نے خشک ہوں جیسے ہی آنسو تو درار آ جائے

Hindi

या तो रुक जाओ कि शायद मिरा यार आ जाए घोंप दो वर्ना ये ख़ंजर कि क़रार आ जाए क्या ख़बर तेरे तबस्सुम की कुशादा रुत में मेरे नाशाद लबों पर भी बहार आ जाए क्या ये तकलीफ़ ही हमराह रहेगी मेरी काश पैरों तले इस के कोई ख़ार आ जाए ज़ेब-ओ-ज़ीनत न कर इतनी कि कहीं ले के फ़ुग़ाँ कल को दर पर तिरे फूलों की क़तार आ जाए इस लिए की है मोहब्बत की ज़मीं तर उस ने ख़ुश्क हों जैसे ही आँसू तो दरार आ जाए

yā to ruk jaao ki shāyad mirā yaar aa jaa.e
Achyutam Yadav
Achyutam Yadav
Achyutam Yadav
poet10 quotes

More by Achyutam Yadav

View all →
Quote
"kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho kise manzilon ki talaash hai hamein chalte rahne kaa Dar na ho kahaan shab hai aur kahaan sahar kahaan dhuup aur kahaan chaandni main tire gumaan mein hi rahun mujhe in sabhi ki khabar na ho ye jo aansuon kaa lifaafa hai kai dard is mein pale baDhe kabhi jhaank le miri aankh mein tujhe e'tibaar agar na ho na 'ayaan huiin miri khaamiyaan na 'ayaan huiin tiri khaamiyaan koi karnaa chaahe bhi gar 'ayaan to sadaa mein us ki asar na ho"
Achyutam YadavAchyutam Yadav
Quote
"rah rah ke mujhe itnaa sataati hai udaasi aansu miri aankhon se churaati hai udaasi tum sochte to hoge ki kis ke liye aakhir qaalin in ashkon ki bichhaati hai udaasi jab dhuup masarrat ki mujhe lagti hai chhune saae mein mujhe apne chhupaati hai udaasi har vaqt mujhe raaegaan saabit kiyaa us ne aur dekho to sar bhi na jhukaati hai udaasi har moD pe lagtaa hai qazaa paas hai apne ik aisaa 'ajuba bhi dikhaati hai udaasi kahtaa huun udaasi koi mahtaab nahin hai suraj ki tarah sab ko jalaati hai udaasi taqdir varaq maangti hai aur phir us pe khushiyon se kahin pahle banaati hai udaasi"
Achyutam YadavAchyutam Yadav
Quote
"un ki qismat sanvaartaa huun main ek do logon kaa khudaa huun main teri yaadon ke par katar ke hi dil ke pinjre ko kholtaa huun main faisle dil se letaa thaa saare zehn ke shahr mein nayaa huun main khaamushi thaa zabaan vaalon ki be-zabaanon ki ab sadaa huun main kis ne aavaaz di hai pichhe se kis ki khaatir rukaa huaa huun main ghaaliban sochtaa huun kaafi kam kuchh ziyaada hi sochtaa huun main khud se aage nikal ke ai raahi khud ko aavaaz de rahaa huun main baarhaa kartaa huun hadein main paar phir kahin paanv dekhtaa huun main jaane kitnon ki ho tumhin manzil jaane kitnon kaa raastaa huun main"
Achyutam YadavAchyutam Yadav

More on Mohabbat

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb