Shayari
sukhan-aabad mein saudaaiyon ki dhuum sahi
'mir'-ji she'r ke fan mein mire ustaad raho
main khud ko dekhtaa huun aur bhi hiqaarat se
jab apnaa martaba taslim karne lagtaa huun
میں خود کو دیکھتا ہوں اور بھی حقارت سے
جب اپنا مرتبہ تسلیم کرنے لگتا ہوں
मैं ख़ुद को देखता हूँ और भी हिक़ारत से
जब अपना मर्तबा तस्लीम करने लगता हूँ

sukhan-aabad mein saudaaiyon ki dhuum sahi
'mir'-ji she'r ke fan mein mire ustaad raho
sab apni zaat mein ik anjuman ke mujrim hain
kisi vajud mein kuchh fard jaisaa hai hi nahin
kisi parind ki chikhon ne sang-baari ki
sukut-e-shaam kaa shisha bikhar gayaa mujh mein
har ek samt tiri yaad kaa dhundalkaa hai
tire khayaal kaa suraj utar gayaa mujh mein
ye kaun tere sivaa kar sakaa udaas mujhe
tire khayaal ne chheDi thi guftugu kis ki
baiThaa huaa huun lag ke dariche se mahv-e-yaas
ye shaam aaj mere baraabar udaas hai