Shayari
unchaa makaan ban gayaa jab se paDos mein
rukhsat hui hai tab se mire baam-o-dar se dhuup
insaan na ban sakaa hai abhi tak jo aadmi
hairaan main dekh kar huun vo kaise khudaa huaa
انساں نہ بن سکا ہے ابھی تک جو آدمی
حیراں میں دیکھ کر ہوں وہ کیسے خدا ہوا
इंसाँ न बन सका है अभी तक जो आदमी
हैराँ मैं देख कर हूँ वो कैसे ख़ुदा हुआ

unchaa makaan ban gayaa jab se paDos mein
rukhsat hui hai tab se mire baam-o-dar se dhuup
har fikr sirf jaagne vaale kaa hai nasib
jo so rahaa hai bas vahi banda maze mein hai
phir aaj ek ghazal keh ke main mo'attar huun
phir aaj zakhm kiye apne sandali main ne
taraqqi khuub ki ham ne magar ye bhi haqiqat hai
hamaaraa daaera ghar-baar se aage nahin baDhtaa
baDe qarine se sab gham hue hain poshida
milaa hai jab se mire dil ko shaa'iri kaa libaas