Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
hai dil mein karun zikr-e-khudaa but ko biThaa kar
sajda ho kisi kaa to ibaadat ho kisi ki
ہے دل میں کروں ذکر خدا بت کو بٹھا کر
سجدہ ہو کسی کا تو عبادت ہو کسی کی
है दिल में करूँ ज़िक्र-ए-ख़ुदा बुत को बिठा कर
सज्दा हो किसी का तो इबादत हो किसी की

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
misl-e-parvaana fidaa har ek kaa dil ho gayaa
yaar jis mahfil mein baiThaa sham-e-mahfil ho gayaa
hairaan huun ki pir-e-mughaan ke libaas mein
aae kahaan se jaama-e-ehraam ke khavaas
sabr ki taab nahin jis ko vo dil hai meraa
rahm kaa naam nahin jis mein vo teraa dil hai