Shayari
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
مسکرا کر اگر وہ دیکھے تو
آئنے پر نشان پڑ جائے
मुस्कुरा कर अगर वो देखे तो
आइने पर निशान पड़ जाए

kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ye aainon ke hain yaa naqs mere
bigaDte jaa rahe hain 'aks mere
agar hai niind na aane kaa aariza tujh ko
to bed pe leT ke fauran koi kitaab uThaa
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein