Shayari
din-raat paDaa rahtaa huun darvaaze pe apne
is gham mein ki koi kabhi aataa thaa idhar se
tere didaar se main aankh uThaaun kyunkar
zulf se paa-e-nazar halqa-e-zanjir mein hai
تیرے دیدار سے میں آنکھ اٹھاؤں کیونکر
زلف سے پائے نظر حلقۂ زنجیر میں ہے
तेरे दीदार से मैं आँख उठाऊँ क्यूँकर
ज़ुल्फ़ से पा-ए-नज़र हल्क़ा-ए-ज़ंजीर में है

din-raat paDaa rahtaa huun darvaaze pe apne
is gham mein ki koi kabhi aataa thaa idhar se
shab-e-furqat nazar aate nahin aasaar-e-sahar
itni zulmat hai rukh-e-shama pe bhi nuur nahin
sar-ba-kaf hind ke jaan-baaz-e-vatan laDte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain
rahegaa kis kaa hissa beshtar mere miTaane mein
ye baaham faisla pahle zamin o aasmaan kar lein