Shayari
main kahaan rakkhun phir masarrat ko
ruuh mein gar udaasi bhar jaae
main huun naa-samajh kitni ye dekh lo tum
main samjhi nahin vo jo samjhaa hai tum ne
میں ہوں نا سمجھ کتنی یہ دیکھ لو تم
میں سمجھی نہیں وہ جو سمجھا ہے تم نے
मैं हूँ ना-समझ कितनी ये देख लो तुम
मैं समझी नहीं वो जो समझा है तुम ने

main kahaan rakkhun phir masarrat ko
ruuh mein gar udaasi bhar jaae
sune is dil ki koi baat aa kar
koi to de mohabbat ke ujaale
zamaane mein hai us ki khush-nasibi
jo khud ko jabr-e-hasti se bachaa le
vo kaise toD lein rishta kisi se
ho jin ki ziist kaa naa'ra ta'alluq