Shayari
ziyaa'-e-vaqt hai aisi ziyaa bhi
bahut is mein ziyaan rakkhaa huaa hai
kisi bhi kaam kaa chhoDaa nahin mujhe jis ne
vo shakhs aaj mujhe ek kaam kah rahaa hai
کسی بھی کام کا چھوڑا نہیں مجھے جس نے
وہ شخص آج مجھے ایک کام کہہ رہا ہے
किसी भी काम का छोड़ा नहीं मुझे जिस ने
वो शख़्स आज मुझे एक काम कह रहा है

ziyaa'-e-vaqt hai aisi ziyaa bhi
bahut is mein ziyaan rakkhaa huaa hai
jitnaa tumhaaraa zarf hai mil jaaungaa tumhein
dariyaa bhi meraa ruup hai qatra bhi dastyaab
milti nahin hai chiiz koi bhi jagah pe ab
main apne ham-safar ki nafaasat se tang huun
ik salib-e-vaqt par sayyad himaayat mein miri
jab koi bolaa nahin main intiqaaman chup rahaa
us ki tarkib mat badal 'sayyad'
tu use hasb-e-zaaiqa na banaa