Shayari
muddaton aankhein vazu karti rahin ashkon se
tab kahin jaa ke tiri diid ke qaabil huaa main
hamin tum se hamesha milne aaein kyuun
tumhaare paanv mein mehndi lagi hai kyaa
ہمیں تم سے ہمیشہ ملنے آیں کیوں
تمہارے پاؤں میں مہندی لگی ہے کیا
हमीं तुम से हमेशा मिलने आएँ क्यूँ
तुम्हारे पाँव में मेहंदी लगी है क्या

muddaton aankhein vazu karti rahin ashkon se
tab kahin jaa ke tiri diid ke qaabil huaa main
tum ne dekhaa nahin adaakaaron
un kaa chehra mire savaal ke baa'd
saare khvaabon ke intiqaal ke baa'd
aap aur vo bhi itne saal ke baa'd
zamaane par to khul kar hans rahaa thaa
tire chhute hi ro baiThaa hai paagal
kar gayaa khamosh mujh ko der tak
chikhnaa vo ek be-zabaan kaa
mujh ko miTTi mein boyaa gayaa
meri miTTi shajar ho gai