Shayari
lauT bhi aayaa to sadiyon ki thakan laaegaa
subh kaa bhulaa huaa shaam ko ghar aane tak
kashtiyaan Duub rahi hain koi saahil laao
apni aankhein miri aankhon ke muqaabil laao
کشتیاں ڈوب رہی ہیں کوئی ساحل لاؤ
اپنی آنکھیں مری آنکھوں کے مقابل لاؤ
कश्तियाँ डूब रही हैं कोई साहिल लाओ
अपनी आँखें मिरी आँखों के मुक़ाबिल लाओ

lauT bhi aayaa to sadiyon ki thakan laaegaa
subh kaa bhulaa huaa shaam ko ghar aane tak
ajiib aag lagaa kar koi ravaana huaa
mire makaan ko jalte hue zamaana huaa
kachchi divaarein sadaa-noshi mein kitni taaq thiin
pattharon mein chikh kar dekhaa to andaazaa huaa
gaanv se guzregaa aur miTTi ke ghar le jaaegaa
ek din dariyaa sabhi divaar o dar le jaaegaa
sadiyon kaa intishaar fasilon mein qaid thaa
dastak ye kis ne di ki imaarat bikhar gai
main lafz-e-khaam huun koi ki tarjumaan-e-ghazal
ye faisla kisi taaza kitaab par Thahraa