Shayari
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
zulfein siina naaf kamar
ek nadi mein kitne bhanvar
زلفیں سینہ ناف کمر
ایک ندی میں کتنے بھنور
ज़ुल्फ़ें सीना नाफ़ कमर
एक नदी में कितने भँवर

ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
ashaar mire yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hain
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbur rahe hain kabhi haalaat se ham
ishq mein kyaa nuqsaan nafa hai ham ko kyaa samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil kaa kaarobaar kiyaa
tujhe baanhon mein bhar lene ki khvaahish yuun ubharti hai
ki main apni nazar mein aap rusvaa ho saa jaataa huun
itne maayus to haalaat nahin
log kis vaaste ghabraae hain