Shayari
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
kisi kaa ahd-e-javaani mein paarsaa honaa
qasam khudaa ki ye tauhin hai javaani ki
کسی کا عہد جوانی میں پارسا ہونا
قسم خدا کی یہ توہین ہے جوانی کی
किसी का अहद-ए-जवानी में पारसा होना
क़सम ख़ुदा की ये तौहीन है जवानी की

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
us ne vaa'da kiyaa hai aane kaa
rang dekho gharib-khaane kaa
kashti-e-mai ko hukm-e-ravaani bhi bhej do
jab aag bhej di hai to paani bhi bhej do
insaan ke lahu ko piyo izn-e-aam hai
angur ki sharaab kaa piinaa haraam hai
aaDe aayaa na koi mushkil mein
mashvare de ke haT gae ahbaab
kaam hai meraa taghayyur naam hai meraa shabaab
meraa naara inqilaab o inqilaab o inqilaab