Shayari
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
J
Joshish Azimabadichashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
چشم وحدت سے گر کوئی دیکھے
بت پرستی بھی حق پرستی ہے
चश्म-ए-वहदत से गर कोई देखे
बुत-परस्ती भी हक़-परस्ती है
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
zaahid na rahne paaeinge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaaiyegaa tiri khaanqaah ko
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam mein aaftaab ko mahtaab le gayaa
ai zulf-e-yaar tujh se bhi aashufta-tar huun main
mujh saa na koi hogaa pareshaan-e-rozgaar
gulzaar-e-mohabbat mein na phule na phale ham
maanind-e-chinaar aag mein apni hi jale ham
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se