Shayari
lamhon ke taar khinchtaa rahtaa thaa raat din
ik shakhs le gayaa miri sadiyaan sameT ke
K
Kamil Akhtarab to har vaqt vahi itnaa rulaataa hai mujhe
jis ko jaate hue main dekh ke ro bhi na sakaa
اب تو ہر وقت وہی اتنا رلاتا ہے مجھے
جس کو جاتے ہوئے میں دیکھ کے رو بھی نہ سکا
अब तो हर वक़्त वही इतना रुलाता है मुझे
जिस को जाते हुए मैं देख के रो भी न सका
lamhon ke taar khinchtaa rahtaa thaa raat din
ik shakhs le gayaa miri sadiyaan sameT ke
manzaron ki bhiiD aisi to kabhi dekhi na thi
gaanv achchhaa thaa magar us mein koi laDki na thi
aksar isi khayaal ne maayus kar diyaa
shaayad tamaam umr yuun hi kaaTni paDe
ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
vo ek khaas ilaaqa jo dil ke andar hai
umr bhar yaad rahaa apni vafaaon ki tarah
ek vo ahd jise aap ne puuraa na kiyaa