Shayari
ham se pahle bhi the is raah pe chalne vaale
ab yahi soch ke rukte hain yahaan dusre log
mujh ko lagaa vo sun rahaa hai ghaur se magar
baiThaa huaa thaa saamne divaar ki tarah
مجھ کو لگا وہ سن رہا ہے غور سے مگر
بیٹھا ہوا تھا سامنے دیوار کی طرح
मुझ को लगा वो सुन रहा है ग़ौर से मगर
बैठा हुआ था सामने दीवार की तरह

ham se pahle bhi the is raah pe chalne vaale
ab yahi soch ke rukte hain yahaan dusre log
sab bechne mein hi lage hain kuchh na kuchh yahaan
duniyaa dikhaai deti hai baazaar ki tarah
har ek shakhs mein us ko talaashtaa huun main
vo mujh ko apnaa talabgaar kar ke chhoD gayaa
kulhaaDi pair pe apne hi maar lete hain
shajar ko kaaT ke saayaa talaash karte hain
taa-'umr mujh ko koi sahaaraa na mil sakaa
aansu nikal paDe hain 'azaadaar dekh kar
buraai karnaa 'aadat mein nahin hai
vagarna khubi batlaate tumhaari