Shayari
aisaa na ho ki dosti bhi jaae haath se
ham haath mein gulaab liye sochte rahe
shikasta naav samajh kar Dubone vaale log
na paa sake mujhe saahil pe khone vaale log
شکستہ ناؤ سمجھ کر ڈبونے والے لوگ
نہ پا سکے مجھے ساحل پہ کھونے والے لوگ
शिकस्ता नाव समझ कर डुबोने वाले लोग
न पा सके मुझे साहिल पे खोने वाले लोग

aisaa na ho ki dosti bhi jaae haath se
ham haath mein gulaab liye sochte rahe
zaraa saa vaqt jo badlaa to ham pe hansne lage
hamaare kaandhe pe sar rakh ke rone vaale log
is paraae shahr mein ai kaash koi ye kahe
raat kaa khaanaa hamaare saath khaanaa hai tumhein
ham 'jaun-eliyaa' ke zamaane mein dosto
'ghaalib' kaa intikhaab liye sochte rahe
log ham se sikhte hain gham chhupaane kaa hunar
aao tum ko bhi sikhaa dein muskuraane kaa hunar
hijraton ke karb ko aise chhupaanaa hai tumhein
koi jab bhi haal puchhe muskuraanaa hai tumhein