Shayari
hamein dekho hamaare paas baiTho ham se kuchh sikho
hamin ne pyaar maangaa thaa hamin ne daagh paae hain
mardon ko sab ravaa pa hai aurat ko naaravaa
sharm-o-hayaa kaa shahr mein charchaa bhi hai ajab
مردوں کو سب روا پہ ہے عورت کو ناروا
شرم و حیا کا شہر میں چرچا بھی ہے عجب
मर्दों को सब रवा प है औरत को नारवा
शर्म-ओ-हया का शहर में चर्चा भी है अजब

hamein dekho hamaare paas baiTho ham se kuchh sikho
hamin ne pyaar maangaa thaa hamin ne daagh paae hain
us ko fursat bhi nahin mujh ko tamannaa bhi nahin
phir khalish kyaa hai ki rah rah ke vafaa DhunDhti hai
dil mein hai mulaaqaat ki khvaahish ki dabi aag
mehndi lage haathon ko chhupaa kar kahaan rakkhun
kuchh din to malaal us kaa haq thaa
bichhDaa to khayaal us kaa haq thaa
apni be-chehragi chhupaane ko
aaine ko idhar udhar rakkhaa
kaun jaane ki uDti hui dhuup bhi
kis taraf kaun si manzilon mein gai