Shayari
jab bhi ki tahrir apni daastaan
teri hi tasvir ho kar rah gai
karein to kis se karein zikr-e-khaanaa-viraani
ki ham to aag nasheman ko khud lagaa aae
کریں تو کس سے کریں ذکر خانہ ویرانی
کہ ہم تو آگ نشیمن کو خود لگا آئے
करें तो किस से करें ज़िक्र-ए-ख़ाना-वीरानी
कि हम तो आग नशेमन को ख़ुद लगा आए

jab bhi ki tahrir apni daastaan
teri hi tasvir ho kar rah gai
makaan andar se khasta ho gayaa hai
aur is mein ek rasta ho gayaa hai
bhaTak ke raah se ham sab ko aazmaa aae
fareb de gae jitne bhi rahnumaa aae
zindagi ke aakhiri lamhe khushi se bhar gayaa
ek din itnaa hansaa vo hanste hanste mar gayaa
jab bhi mile vo naa-gahaan jhuum uThe hain qalb o jaan
milne mein lutf hai agar milnaa ho kaam ke baghair
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisaa akelaa-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gayaa